khush-mizaj logon se rabt ka nateeja hai | ख़ुश-मिज़ाज लोगों से रब्त का नतीजा है - M R CHAUHAN

khush-mizaj logon se rabt ka nateeja hai
isliye tabassum mein taazgi ziyaada hai

doosron ke mahlon mein vo sukoon nahin milta
jo sukoon apne hi aashiyaan mein aata hai

shukr hai ghaneemat hai is jahaan mein rahne ko
mujh gareeb par apna ik ghareeb-khaana hai

ik taraf kuaan hai aur doosri taraf khaai
kis qadar mujhe saahib aafaton ne ghera hai

munh bana ke bola hai gopiyo ne radha se
ham hain jiski deewani vo tera deewana hai

ख़ुश-मिज़ाज लोगों से रब्त का नतीजा है
इसलिए तबस्सुम में ताज़गी ज़ियादा है

दूसरों के महलों में वो सुकूँ नहीं मिलता
जो सुकून अपने ही आशियाँ में आता है

शुक्र है ग़नीमत है इस जहाँ में रहने को
मुझ ग़रीब पर अपना इक ग़रीब-ख़ाना है

इक तरफ़ कुआँ है और दूसरी तरफ़ खाई
किस क़दर मुझे साहिब आफ़तों ने घेरा है

मुँह बना के बोला है गोपियों ने राधा से
हम हैं जिसकी दीवानी वो तेरा दिवाना है

- M R CHAUHAN
0 Likes

More by M R CHAUHAN

As you were reading Shayari by M R CHAUHAN

Similar Writers

our suggestion based on M R CHAUHAN

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari