bees baras ke baad bhi mujhmein thoda ghar baaki hai ab bhi | बीस बरस के बाद भी मुझमें थोड़ा घर बाक़ी है अब भी

  - Mukesh Guniwal "MAhir"

bees baras ke baad bhi mujhmein thoda ghar baaki hai ab bhi
ek safar to khatm hua par ek safar baaki hai ab bhi

ek usko kah dene bhar se sapne poore ho jaate hain
farmaish ke haathon mein itna to hunar baaki hai ab bhi

vo raat ko din bhi kah de to sab taali peetne lagte hain
yaani panchi ke dil mein sayyaad ka dar baaki hai ab bhi

बीस बरस के बाद भी मुझमें थोड़ा घर बाक़ी है अब भी
एक सफ़र तो ख़त्म हुआ पर एक सफ़र बाक़ी है अब भी

एक उसको कह देने भर से सपने पूरे हो जाते हैं
जादूगर के हाथों में इतना तो हुनर बाक़ी है अब भी

वो रात को दिन भी कह दे तो सब ताली पीटने लगते हैं
यानी पंछी के दिल में सय्याद का डर बाक़ी है अब भी

  - Mukesh Guniwal "MAhir"

More by Mukesh Guniwal "MAhir"

As you were reading Shayari by Mukesh Guniwal "MAhir"

Similar Writers

our suggestion based on Mukesh Guniwal "MAhir"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari