par khule to ud gaye neele gagan mein | पर खुले तो उड़ गए नीले गगन में

  - Mukesh Guniwal "MAhir"

par khule to ud gaye neele gagan mein
aur chidiya dhundhti bacche chaman mein

teen tukde usne ghar ke kar diye par
phir bhi ghar chalta raha uske kahn mein

sar se lekar paanv tak chhalni pada hoon
ghaav par dikhta nahin koii badan mein

ab mujhe daulat ziyaada chahiye hai
jeb sil di kis ne ye mere kafan mein

yaar koii to naya sa dard do tum
ab nayaapan chahiye tarz-e-sukhan mein

maarna raavan ko har-dam hi saral hai
jo vibhiishan saath ho lanka dehan mein

chhod ke maa kii sharan sukh dhundhte ham
paath mein pooja ibadat aachman mein

पर खुले तो उड़ गए नीले गगन में
और चिड़िया ढूँढ़ती बच्चे चमन में

तीन टुकड़े उसने घर के कर दिए पर
फिर भी घर चलता रहा उसके कहन में

सर से लेकर पाँव तक छलनी पड़ा हूँ
घाव पर दिखता नहीं कोई बदन में

अब मुझे दौलत ज़ियादा चाहिए है
जेब सिल दी किस ने ये मेरे कफ़न में

यार कोई तो नया सा दर्द दो तुम
अब नयापन चाहिए तर्ज़-ए-सुख़न में

मारना रावण को हर-दम ही सरल है
जो विभीषण साथ हो लंका दहन में

छोड़ के माँ की शरण सुख ढूँढते हम
पाठ में पूजा इबादत आचमन में

  - Mukesh Guniwal "MAhir"

More by Mukesh Guniwal "MAhir"

As you were reading Shayari by Mukesh Guniwal "MAhir"

Similar Writers

our suggestion based on Mukesh Guniwal "MAhir"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari