milne ko roz milte hain yun to hazaar log
milte nahin hain par kahin bachpan ke yaar log
logon se ja ke mat kaho ghar kii koii bhi baat
paida karenge aapke ghar mein daraar log
hamne zara jo pyaar se kar li hai guftagoo
hone lage hain dekh lo sar par sawaar log
paagal tha main jo aapke jhaanse mein aa gaya
karte kahaan hain ishq kabhi hoshiyaar log
khaali ye jeb hai to koii poochta nahin
varna salaam karte the hamko bhi chaar log
hamne to khushiyaan baanti hain duniya mein behisaab
dete nahin hain par hamein gham bhi udhaar log
naazim tumhaare pyaar mein badnaam ho gaya
milkar hasi uda rahe hain ab to yaar log
मिलने को रोज़ मिलते हैं यूँ तो हज़ार लोग
मिलते नहीं हैं पर कहीं बचपन के यार लोग
लोगों से जा के मत कहो घर की कोई भी बात
पैदा करेंगे आपके घर में दरार लोग
हमने ज़रा जो प्यार से कर ली है गुफ़्तगू
होने लगे हैं देख लो सर पर सवार लोग
पागल था मैं जो आपके झाँसे में आ गया
करते कहाँ हैं इश्क़ कभी होशियार लोग
ख़ाली ये जेब है तो कोई पूछता नहीं
वरना सलाम करते थे हमको भी चार लोग
हमने तो ख़ुशियाँ बाँटी हैं दुनिया में बेहिसाब
देते नहीं हैं पर हमें ग़म भी उधार लोग
'नाज़िम' तुम्हारे प्यार में बदनाम हो गया
मिलकर हँसी उड़ा रहे हैं अब तो यार लोग
As you were reading Shayari by Najmu Ansari Nazim
our suggestion based on Najmu Ansari Nazim
As you were reading undefined Shayari