agar milti nahin chaabi to taalaa toot jaata hai
kabhi majbooriyon ke haathon rishta toot jaata hai
tumhaare door jaane se main aise toot jaata hoon
bichhad kar chaand se jaise sitaara toot jaata hai
khuda-ra ishq mat karna faqat itni guzarish hai
dil-e-naadaan mohabbat mein hamesha toot jaata hai
duaon se nawaaza hai meri maa ne mujhe aise
bhara ho zahar pyaale mein to pyaala toot jaata hai
bahut kaccha makaan hai ye badi kacchi hain deewarein
faqat ik eent girne se gharaana toot jaata hai
iraada jiska pakka ho vo pa leta hai manzil ko
bhatak jaata hai vo jiska iraada toot jaata hai
hamesha jeetna naazim bharose ko bharose se
bharosa aazmaane mein bharosa toot jaata hai
अगर मिलती नहीं चाबी तो ताला टूट जाता है
कभी मजबूरियों के हाथों रिश्ता टूट जाता है
तुम्हारे दूर जाने से मैं ऐसे टूट जाता हूँ
बिछड़ कर चाँद से जैसे सितारा टूट जाता है
ख़ुदा-रा इश्क़ मत करना फ़क़त इतनी गुज़ारिश है
दिल-ए-नादाँ मोहब्बत में हमेशा टूट जाता है
दुआओं से नवाज़ा है मिरी माँ ने मुझे ऐसे
भरा हो ज़हर प्याले में तो प्याला टूट जाता है
बहुत कच्चा मकाँ है ये बडी़ कच्ची हैं दीवारें
फ़क़त इक ईंट गिरने से घराना टूट जाता है
इरादा जिसका पक्का हो वो पा लेता है मंज़िल को
भटक जाता है वो जिसका इरादा टूट जाता है
हमेशा जीतना नाज़िम भरोसे को भरोसे से
भरोसा आज़माने में भरोसा टूट जाता है
As you were reading Shayari by Najmu Ansari Nazim
our suggestion based on Najmu Ansari Nazim
As you were reading undefined Shayari