akela hi chala tha main akela hi safar mein hoon
magar main car aamad hoon dua mein hoon asar mein hoon
khata ho koii mujhse aur logon ko mile mauqa
sambhal kar pair rakhta hoon zamaane kii nazar mein hoon
zehar ke hoobahoo baatein nikalne ka yahi kaaran
zehar hi mujhmein hai ya to rago pai main zehar mein hoon
tu aali hai tune hi rank ko raja banaya hai
khuda tu meri sun le main hamesha se sifar mein hoon
kabhi sochho ki main har baat par har baar kyun raaji
meri ulfat tujhe khone se darta hoon to dar mein hoon
jo achhe dil ke hain yaaron wahi gumnaam rahte hain
main jhoota hoon farebi hoon magar jaanaan khabar mein hoon
mera to khoob man karta ki uske ghar ko jaaun main
magar vo ye nahin kehta chale aao main ghar mein hoon
अकेला ही चला था मैं अकेले ही सफर में हूँ
मगर मैं कार - आमद हूँ दुआ में हूँ असर में हूँ
ख़ता हो कोई मुझसे और लोगों को मिले मौक़ा
संभल कर पैर रखता हूँ ज़माने की नज़र में हूँ
ज़हर के हूबहू बातें निकलने का यही कारन
ज़हर ही मुझमें है या तो रगो - पै मैं ज़हर में हूँ
तु आली है तूने ही रंक को राजा बनाया है
ख़ुदा तू मेरी सुन ले मैं हमेशा से सिफ़र में हूँ
कभी सोंचो कि मैं हर बात पर हर बार क्यूँ राजी
मेरी उल्फ़त तुझे खोने से डरता हूँ तो डर में हूँ
जो अच्छे दिल के हैं यारों वही गुमनाम रहते हैं
मैं झूठा हूँ फ़रेबी हूँ मगर जानां ख़बर में हूँ
मेरा तो ख़ूब मन करता कि उसके घर को जाऊँ मैं
मगर वो ये नहीं कहता चले आओ मैं घर में हूँ
As you were reading Shayari by Prashant Sitapuri
our suggestion based on Prashant Sitapuri
As you were reading undefined Shayari