aoraq yun ulatne se kuchh faaeda nahin
farhaad sa jahaan mein koii sar-fira nahin
chal saath mil ke koii naya hal talash len
tark-e-taalluqaat sahi faisla nahin
hamraah chal rahe hain musalsal ye kislie
khushiyon ka gar ghamon se koii raabta nahin
vo umr bhar rahega museebat mein mubtila
jo apni galatiyon se sabq seekhta nahin
furqat kii chilchilaati hui dhoop mein mera
ye jism jal gaya hai magar dil jala nahin
ham baat kar rahe hain hamein aa ke dekh le
jo bhi ye kah raha hai sanam bolta nahin
main sochta tha sab meri haalat pe roenge
afsos par yahan to koii gham-zda nahin
vo jiski ik nazar ka hai mushtaaq mera husn
vo shakhs meri simt kabhi dekhta nahin
mahfooz apni zaat ko kaise rakhoon shajar
dushman hain mere laakh koii hamnava nahin
औराक़ यूँ उलटने से कुछ फ़ाएदा नहीं
फ़रहाद सा जहाँ में कोई सर-फिरा नहीं
चल साथ मिल के कोई नया हल तलाश लें
तर्क-ए-तअल्लुक़ात सही फ़ैसला नहीं
हमराह चल रहे हैं मुसलसल ये किसलिए
ख़ुशियों का गर ग़मों से कोई राब्ता नहीं
वो उम्र भर रहेगा मुसीबत में मुब्तिला
जो अपनी ग़लतियों से सबक़ सीखता नहीं
फ़ुर्क़त की चिलचिलाती हुई धूप में मिरा
ये जिस्म जल गया है मगर दिल जला नहीं
हम बात कर रहे हैं हमें आ के देख ले
जो भी ये कह रहा है सनम बोलता नहीं
मैं सोचता था सब मिरी हालत पे रोएँगे
अफ़सोस पर यहाँ तो कोई ग़म-ज़दा नहीं
वो जिसकी इक नज़र का है मुश्ताक़ मेरा हुस्न
वो शख़्स मेरी सिम्त कभी देखता नहीं
महफ़ूज़ अपनी ज़ात को कैसे रखूँ शजर
दुश्मन हैं मेरे लाख कोई हमनवा नहीं
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari