gulaab jhelte hain jis tarah se khaar ka dukh | गुलाब झेलते हैं जिस तरह से ख़ार का दुख - Shajar Abbas

gulaab jhelte hain jis tarah se khaar ka dukh
yun meri aankhon ne jhela hai intizaar ka dukh

gale se apne lagaakar hamein dilaasa den
hamaare yaar manaae hamaari haar ka dukh

hai dil mein bugz hasad lab pe hai salaam dua
ajeeb hai mere maabood shehryaar ka dukh

anees jaun zafar meer faiz ghalib ka
jo dukh tha aaj wahi hai shajar khumaar ka dukh

गुलाब झेलते हैं जिस तरह से ख़ार का दुख
यूँ मेरी आँखों ने झेला है इंतिज़ार का दुख

गले से अपने लगाकर हमें दिलासा दें
हमारे यार मनाएँ हमारी हार का दुख

है दिल में बुग़्ज़ हसद लब पे है सलाम दुआ
अजीब है मिरे माबूद शहरयार का दुख

अनीस जौन ज़फ़र मीर फ़ैज़ ग़ालिब का
जो दुख था आज वही है 'शजर' ख़ुमार का दुख

- Shajar Abbas
0 Likes

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari