hasi labon pe saja kar kalaam karna hai | हँसी लबों पे सजा कर कलाम करना है

  - Shajar Abbas

hasi labon pe saja kar kalaam karna hai
meri hayaat ka qissa tamaam karna hai

takhayyulaat ka ab ikhtitaam karna hai
kinaara kar ke muhabbat se naam karna hai

kisi kii aankhon ne neende haraam karne hain
kisi kii agar ne dil ko ghulaam karna hai

labon pe uske tabassum ho sar pe chadar ho
musavviron ye faqat tumko kaam karna hai

khushi ke saath basar karne do ye din mujhko
ki ishq vishq miyaan kaaf-laam karna hai

hamaare naam ne ik arse baad lagta hai
tumhaare lab kii zameen par qayaam karna hai

jo naujawaan bhi zeenat bane hain sehra kii
har ik ka maine bada ehtiraam karna hai

haseen ladki tumhaari haseen aankhon se
haan baada-khwaar ko ab nosh jaam karna hai

qasam uthaai hai ranj-o-alam ne har lamha
tawaaf-e-khana-e-dil subh-o-shaam karna hai

shab-e-visaal ko ham kar ke mukhtasar nikle
shab-e-firaq ka kuchh intizaam karna hai

mita ke bair adavat ko bughz-o-nafrat ko
jahaan mein amn ka paighaam aam karna hai

ye dil ke tukde uthaane hain khwaab dekhne hain
tire baghair mujhe kitna kaam karna hai

kisi ke dar pe jhukaana hai ja ke sar apna
kisi ke naam ko takiya kalaam karna hai

saja ke palkon pe aansu yun muskurana hai
ghamon mein jashn ka bhi intizaam karna hai

tumhaare dil pe hukoomat to kar chuka main ab
tumhaare shehar ko bas ham-kalaam karna hain

vo dil lagi kare sehra kii nazr ho jaaye
jise bhi apna zamaane mein naam karna hai

na haq kisi ka dabey nai kisi ka ghar ujde
watan mein apne ye naafiz nizaam karna hai

hamein badhaani hai mannat shajar muhabbat kii
mazaar-e-qais pe aakhir salaam karna hai

हँसी लबों पे सजा कर कलाम करना है
मिरी हयात का क़िस्सा तमाम करना है

तख़य्युलात का अब इख़्तिताम करना है
किनारा कर के मुहब्बत से नाम करना है

किसी की आँखों ने नींदे हराम करनी हैं
किसी की ज़ुल्फ़ों ने दिल को ग़ुलाम करना है

लबों पे उसके तबस्सुम हो सर पे चादर हो
मुसव्विरों ये फ़क़त तुमको काम करना है

ख़ुशी के साथ बसर करने दो ये दिन मुझको
कि इश्क़ विश्क़ मियाँ काफ़-लाम करना है

हमारे नाम ने इक अरसे बाद लगता है
तुम्हारे लब की ज़मीं पर क़याम करना है

जो नौजवान भी ज़ीनत बने हैं सहरा की
हर इक का मैंने बड़ा एहतिराम करना है

हसीन लड़की तुम्हारी हसीन आँखों से
हाँ बादा-ख़्वार को अब नोश जाम करना है

क़सम उठाई है रंज-ओ-अलम ने हर लम्हा
तवाफ़-ए-ख़ाना-ए-दिल सुब्ह-ओ-शाम करना है

शब-ए-विसाल को हम कर के मुख़्तसर निकले
शब-ए-फ़िराक़ का कुछ इंतिज़ाम करना है

मिटा के बैर अदावत को बुग्ज़-ओ-नफ़रत को
जहाँ में अम्न का पैग़ाम आम करना है

ये दिल के टुकड़े उठाने हैं ख़्वाब देखने हैं
तिरे बग़ैर मुझे कितना काम करना है

किसी के दर पे झुकाना है जा के सर अपना
किसी के नाम को तकिया कलाम करना है

सजा के पलकों पे आँसू यूँ मुस्कुराना है
ग़मों में जश्न का भी इंतिज़ाम करना है

तुम्हारे दिल पे हुकूमत तो कर चुका मैं अब
तुम्हारे शहर को बस हम-कलाम करना हैं

वो दिल लगी करे सहरा की नज़्र हो जाए
जिसे भी अपना ज़माने में नाम करना है

न हक़ किसी का दबे नईं किसी का घर उजड़े
वतन में अपने ये नाफ़िज़ निज़ाम करना है

हमें बढ़ानी है मन्नत शजर मुहब्बत की
मज़ार-ए-क़ैस पे आख़िर सलाम करना है

  - Shajar Abbas

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari