janaab-e-qais ye taarikh se hawala hai
tumhaara mulk-e-muhabbat mein bol-baala hai
nizaam-e-mulk-e-sanam kis qadar niraala hai
kisi ke haath mein patthar kisi ke bhaala hai
tumhaara naam na leta to gir gaya hota
tumhaare naam ne ab tak mujhe sambhaala hai
zameen qubool kare aur na aasmaan qubool
ye kah ke usne meri khaak ko uchhaala hai
tamaam umr isi ik khata pe rooge
khushi ke saath jo dil se hamein nikala hai
tumhaari yaad mein ham dil jalaae baithe hain
yun aaj chaaron taraf shehar mein ujaala hai
nazar ke teer chalaae ada se qatl kare
ye zeb deta hai usko jo husn waala hai
kisi ke hijr mein ham khud ko kyun tabaah karein
hamaari maa ne hamein hasraton se paala hai
dil-e-chaman mein hai majlis shajar hai mahv-e-fighaan
khizaan ne jism gulaabon ka noch daala hai
जनाब-ए-क़ैस ये तारीख़ से हवाला है
तुम्हारा मुल्क-ए-मुहब्बत में बोल-बाला है
निज़ाम-ए-मुल्क-ए-सनम किस क़दर निराला है
किसी के हाथ में पत्थर किसी के भाला है
तुम्हारा नाम न लेता तो गिर गया होता
तुम्हारे नाम ने अब तक मुझे सँभाला है
ज़मीं क़ुबूल करे और न आसमान क़ुबूल
ये कह के उसने मिरी ख़ाक को उछाला है
तमाम उम्र इसी इक ख़ता पे रोओगे
ख़ुशी के साथ जो दिल से हमें निकाला है
तुम्हारी याद में हम दिल जलाए बैठे हैं
यूँ आज चारों तरफ़ शहर में उजाला है
नज़र के तीर चलाए अदा से क़त्ल करे
ये ज़ेब देता है उसको जो हुस्न वाला है
किसी के हिज्र में हम ख़ुद को क्यों तबाह करें
हमारी माँ ने हमें हसरतों से पाला है
दिल-ए-चमन में है मजलिस 'शजर' है महव-ए-फ़ुग़ाँ
ख़िज़ाँ ने जिस्म गुलाबों का नोच डाला है
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari