saunp di tark-e-taalluq kii jo sougaat hamein
umr bhar yaad rahegi ye mulaqaat hamein
khud se milte hain to khud ko nahin pahchaante hain
aise haalaat mein le aaye hain haalaat hamein
jab se dekha hai tiri aankhon se khun girte hue
tab se achhi nahin lagti hai ye barsaat hamein
paas aate hain jabeen honthon pe rakh dete hain
is tarah dete hain vo husn kii khairaat hamein
aapka deed karein choome ki lag jaayen gale
tang karte hain musalsal ye savaalaat hamein
apne hothon se tire naqsh-e-qadam choomne hain
apni aankhon se lagaane hain tire haath hamein
सौंप दी तर्क-ए-तअल्लुक़ की जो सौग़ात हमें
उम्र भर याद रहेगी ये मुलाक़ात हमें
ख़ुद से मिलते हैं तो ख़ुद को नहीं पहचानते हैं
ऐसे हालात में ले आए हैं हालात हमें
जब से देखा है तिरी आँखों से ख़ूँ गिरते हुए
तब से अच्छी नहीं लगती है ये बरसात हमें
पास आते हैं जबीं होंठों पे रख देते हैं
इस तरह देते हैं वो हुस्न की ख़ैरात हमें
आपका दीद करें चूमे कि लग जाएँ गले
तंग करते हैं मुसलसल ये सवालात हमें
अपने होठों से तिरे नक़्श-ए-क़दम चूमने हैं
अपनी आँखों से लगाने हैं तिरे हाथ हमें
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari