hairaan hain jahaan ye kya kar raha hoon main
ik be-wafa se haay wafa kar raha hoon main
tasbeeh mein jo vird tera kar raha hoon main
duniya samajh rahi hai khata kar raha hoon main
rasm-e-qabeela aise ada kar raha hoon main
qaateel ko apne aab ata kar raha hoon main
hai majlis-e-firaq mere qalb mein bapaa
dhadkan ke zariye aah-o-buka kar raha hoon main
jee chahta hai choom luun main gul ki pattiyaan
khaaron ki thodi saari haya kar raha hoon main
baad-e-firaq-e-yaar sada muskuraaye tu
din raat rab se ye hi dua kar raha hoon main
gaafil nahin hoon dekho ibadat se ek pal
har saans mein tumhaari sana kar raha hoon main
tumko sawaar karte hue baa khuda sanam
lagta hai jaan tan se juda kar raha hoon main
ek be wafa ke vaaste dekho zara shajar
ye zindagaani apni fana kar raha hoon main
हैरान हैं जहान ये क्या कर रहा हूँ मैं
इक बे-वफ़ा से हाय वफ़ा कर रहा हूँ मैं
तस्बीह में जो विर्द तेरा कर रहा हूँ मैं
दुनिया समझ रही है ख़ता कर रहा हूँ मैं
रस्म-ए-क़बीला ऐसे अदा कर रहा हूँ मैं
क़ातिल को अपने आब अता कर रहा हूँ मैं
है मजलिस-ए-फ़िराक मेरे क़ल्ब में बपा
धड़कन के ज़रिए आह-ओ-बुका कर रहा हूँ मैं
जी चाहता है चूम लूँ मैं गुल की पत्तियाँ
ख़ारों की थोड़ी सारी हया कर रहा हूँ मैं
बाद-ए-फ़िराक-ए-यार सदा मुस्कुराए तू
दिन रात रब से ये ही दुआ कर रहा हूँ मैं
गाफिल नहीं हूँ देखो इबादत से एक पल
हर साँस में तुम्हारी सना कर रहा हूँ मैं
तुमको सवार करते हुए बा खुदा सनम
लगता है जान तन से जुदा कर रहा हूँ मैं
एक बे वफ़ा के वास्ते देखो ज़रा 'शजर'
ये ज़िंदगानी अपनी फना कर रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Nazakat Shayari Shayari