baad tere ye haal hai ab tak | बाद तेरे ये हाल है अब तक

  - Shajar Abbas

baad tere ye haal hai ab tak
jaan-e-man man nidhaal hai ab tak

us se bichhde hue zamaana hua
usko mera khayal hai ab tak

hamne maazi mein dil lagaaya tha
aur jeena muhaal hai ab tak

kis liye choom kar nahin aaye
gul ke lab par sawaal hai ab tak

mayyat-e-ishq ke lahu se shajar
maqtal-e-qalb laal hai ab tak

बाद तेरे ये हाल है अब तक
जान-ए-मन मन निढाल है अब तक

उस से बिछड़े हुए ज़माना हुआ
उसको मेरा ख़याल है अब तक

हमने माज़ी में दिल लगाया था
और जीना मुहाल है अब तक

किस लिए चूम कर नहीं आए
गुल के लब पर सवाल है अब तक

मय्यत-ए-इश्क़ के लहू से 'शजर'
मक़्तल-ए-क़ल्ब लाल है अब तक

  - Shajar Abbas

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari