tawaaf-e-gul mein hain masroof titliyan dekho | तवाफ़-ए-गुल में हैं मसरूफ़ तितलियाँ देखो - Shajar Abbas

tawaaf-e-gul mein hain masroof titliyan dekho
nigaah-e-lutf se manzar ye baagbaan dekho

sitam ki duniya mein chalti hain aandhiyaan dekho
dhuaan dhuaan hui jaati hain bastiyaan dekho

ameer-e-shahr mahal se nikal ke aao zara
gareeb logon ki aankhon se jhuggiyaan dekho

gulaab laaye hain hum log apne haathon mein
vo apne haathon mein laaye hain barchiyaan dekho

firaq-e-yaar mein tanhaa nahin main giryaa kunaan
shareek gham mein hamaare hain aasmaan dekho

hazaaron saal se hai rasm aaj tak jaari
jala di jaati hain duniya mein betiyaan dekho

jahaan pe bichhde the college mein ek dooje se
hain ashqbaar abhi tak vo seedhiyaan dekho

sadaaein deti hain paayal khanak ke pairo'n ki
kalaaiyon ki khanakti hain choodiyaan dekho

chaman mein aaj subah aa ke gul ki shiddat se
labon se choomi hain bhanware ne pattiyaan dekho

jo hamse bichhda tha sardi mein vo nahin aaya
palat ke aa gai waapas se sardiyaan dekho

hua hai shaakh pe jis roz se nuzool-e-samar
shajar ki ho gaeein kham saari daliyaan dekho

तवाफ़-ए-गुल में हैं मसरूफ़ तितलियाँ देखो
निगाह-ए-लुत्फ़ से मंज़र ये बाग़बाँ देखो

सितम की दुनिया में चलती हैं आँधियाँ देखो
धुआँ धुआँ हुई जाती हैं बस्तियाँ देखो

अमीर-ए-शहर महल से निकल के आओ ज़रा
ग़रीब लोगों की आँखों से झुग्गियाँ देखो

गुलाब लाए हैं हम लोग अपने हाथों में
वो अपने हाथों में लाए हैं बर्छियाँ देखो

फ़िराक़-ए-यार में तन्हा नहीं मैं गिर्या कुनाँ
शरीक ग़म में हमारे हैं आसमाँ देखो

हज़ारों साल से है रस्म आज तक जारी
जला दी जाती हैं दुनिया में बेटियाँ देखो

जहाँ पे बिछड़े थे कॉलिज में एक दूजे से
हैं अश्क़बार अभी तक वो सीढ़ियाँ देखो

सदाएँ देती हैं पायल खनक के पैरों की
कलाइयों की खनकती हैं चूड़ियाँ देखो

चमन में आज सुबह आ के गुल की शिद्दत से
लबों से चूमी हैं भँवरे ने पत्तियाँ देखो

जो हमसे बिछड़ा था सर्दी में वो नहीं आया
पलट के आ गई वापस से सर्दियाँ देखो

हुआ है शाख़ पे जिस रोज़ से नुज़ूल-ए-समर
शजर की हो गईं ख़म सारी डालियाँ देखो

- Shajar Abbas
1 Like

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari