haq ki awaaz uthaane ke liye qais bano | हक़ की आवाज़ उठाने के लिए क़ैस बनो

  - Shajar Abbas

haq ki awaaz uthaane ke liye qais bano
maqsad-e-ishq bachaane ke liye qais bano

lab pe ye hazrat-e-laila ke saja hai naara
ishq pe jaan lutaane ke liye qais bano

maqtal-e-ishq mein sab aapka loha maane
zulm ko khoon rulaane ke liye qais bano

ishq bhi ek ibadat hai koi jurm nahin
baat ye sabko bataane ke liye qais bano

shahr-e-shamla se ye aawaaz-e-jars aayi hai
ishq ki shamma jalane ke liye qais bano

maut ke baad jo khwaahish hai tumhein jeene ki
to suno yaar zamaane ke liye kais bano

aag jo ishq ki basti mein lagi hai murshid
aap vo aag bujhaane ke liye qais bano

aish-o-ishrat ki ye sab cheezen nahin apne liye
doston sehra basaane ke liye qais bano

minbar-e-ishq se be-khauf-o-khatr saare jawaan
khutba-e-ishq sunaane ke liye qais bano

hazrat-e-qais ki turbat se ye aati sada
tum shajar ab ke zamaane ke liye qais bano

हक़ की आवाज़ उठाने के लिए क़ैस बनो
मक़सद-ए-इश्क़ बचाने के लिए क़ैस बनो

लब पे ये हज़रत-ए-लैला के सजा है नारा
इश्क़ पे जान लुटाने के लिए क़ैस बनो

मक़तल-ए-इश्क़ में सब आपका लौहा माने
ज़ुल्म को ख़ून रुलाने के लिए क़ैस बनो

इश्क़ भी एक इबादत है कोई जुर्म नहीं
बात ये सबको बताने के लिए क़ैस बनो

शहर-ए-शम्ला से ये आवाज़-ए-जरस आई है
इश्क़ की शम्मा जलाने के लिए क़ैस बनो

मौत के बाद जो ख़्वाहिश है तुम्हें जीने की
तो सुनो यार ज़माने के लिए कैस बनो

आग जो इश्क़ की बस्ती में लगी है मुर्शिद
आप वो आग बुझाने के लिए क़ैस बनो

ऐश-ओ-इशरत की ये सब चीज़ें नहीं अपने लिए
दोस्तों सहरा बसाने के लिए क़ैस बनो

मिंबर-ए-इश्क़ से बे-ख़ौफ़-ओ-ख़तर सारे जवाँ
ख़ुत्बा-ए-इश्क़ सुनाने के लिए क़ैस बनो

हज़रत-ए-क़ैस की तुर्बत से ये आती सदा
तुम शजर अब के ज़माने के लिए क़ैस बनो

  - Shajar Abbas

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari