mere apne hi shajar mujhpe sitam karte hain
phir sitam karke gazab gham dekhiye karte hain
ham hi mahroom hain bas nazar-e-karam se unki
baaki har shakhs pe vo nazar-e-karam karte hain
farsh-e-majlis pe gham-e-hijr mein maatam karke
roz-o-shab shaam-o-sehar aankhon ko nam karte hain
hazrat-e-dil se judaai ke masaib sunkar
giryaa har waqt ye qirtaas-o-qalam karte hain
leejie aaj shajar sun ke sada-e-dil ko
koocha-e-yaar ko ham baagh-e-iram karte hain
मेरे अपने ही शजर मुझपे सितम करते हैं
फिर सितम करके ग़ज़ब ग़म देखिए करते हैं
हम ही महरूम हैं बस नज़र-ए-करम से उनकी
बाक़ी हर शख़्स पे वो नज़र-ए-करम करते हैं
फ़र्श-ए-मजलिस पे ग़म-ए-हिज्र में मातम करके
रोज़-ओ-शब शाम-ओ-सहर आँखों को नम करते हैं
हज़रत-ए-दिल से जुदाई के मसाइब सुनकर
गिर्या हर वक़्त ये क़िर्तास-ओ-क़लम करते हैं
लीजिए आज शजर सुन के सदा-ए-दिल को
कूचा-ए-यार को हम बाग़-ए-इरम करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Hijr Shayari Shayari