laasha-e-farhaad ab tak be-kafan hai dekhiye | लाशा-ए-फ़रहाद अब तक बे-कफ़न है देखिए - Shajar Abbas

laasha-e-farhaad ab tak be-kafan hai dekhiye
is tarah giryaa kunaan sheerin-dahan hai dekhiye

aashikon ki khoobsurat anjuman hai dekhiye
heer hai raanjha hai sheerin kohkan hai dekhiye

haaye haaye qais mera bar-sar-e-dasht-e-junoon
khaak ka odhe hue ik pairhan hai dekhiye

kaise pahunchega ye manzil tak salaamat qaafila
qaafila saalar khud hi raahzan hai dekhiye

maar kar patthar shajar sab kah rahe hain qais ko
ye gareeb-e-naatwaan ye be-watan hai dekhiye

लाशा-ए-फ़रहाद अब तक बे-कफ़न है देखिए
इस तरह गिर्या कुनाँ शीरीं-दहन है देखिए

आशिकों की ख़ूबसूरत अंजुमन है देखिए
हीर है राँझा है शीरीं कोहकन है देखिए

हाए हाए क़ैस मेरा बर-सर-ए-दश्त-ए-जुनूँ
ख़ाक का ओढ़े हुए इक पैरहन है देखिए

कैसे पहुँचेगा ये मंज़िल तक सलामत क़ाफ़िला
क़ाफ़िला सालार ख़ुद ही राहज़न है देखिए

मार कर पत्थर शजर सब कह रहे हैं क़ैस को
ये ग़रीब-ए-नातवाँ ये बे-वतन है देखिए

- Shajar Abbas
1 Like

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari