shab-e-furqat gham-e-furqat mein rona chahta hoon main | शब-ए-फ़ुर्क़त ग़म-ए-फ़ुर्क़त में रोना चाहता हूँ मैं

  - Shajar Abbas

shab-e-furqat gham-e-furqat mein rona chahta hoon main
lahu se daaman-e-dil ko bhigona chahta hoon main

yun apne zakhm mein nashtar chubhona chahta hoon main
namak se apne zakhm-e-dil ko dhona chahta hoon main

mukammal ishq ka unwaan hona chahta hoon main
ki apni zaat ko tujhmein samona chahta hoon main

makaan-e-qalb mein chhota sa kona chahta hoon main
jahaan par baithkar din raat rona chahta hoon main

kamaal-e-zabt kya hai iska mujhko ilm ho jaaye
yun pusht-e-dil pe baar-e-hijr dhona chahta hoon main

zamaana bistar-e-makhmal ka khwaahish-mand hai ya rab
magar yaa khaak ke bistar pe sona chahta hoon main

na hoga sar-fira mujhsa koii bhi is zamaane mein
vo jisko pa liya hai usko khona chahta hoon main

jo farsh-e-khaak par bikhri padi hai ishq kii tasbeeh
usi ko phir se dhaage mein pirona chahta hoon main

zamaana mera hone ke liye be-taab hai lekin
zamaane mein tira bas tera hona chahta hoon main

shajar khud apne haathon se ye aankhon ke samandar mein
haseen khwaabon kii kashti kyun dubona chahta hoon main

शब-ए-फ़ुर्क़त ग़म-ए-फ़ुर्क़त में रोना चाहता हूँ मैं
लहू से दामन-ए-दिल को भिगोना चाहता हूँ मैं

यूँ अपने ज़ख़्म में नश्तर चुभोना चाहता हूँ मैं
नमक से अपने ज़ख़्म-ए-दिल को धोना चाहता हूँ मैं

मुकम्मल इश्क़ का उनवान होना चाहता हूँ मैं
कि अपनी ज़ात को तुझमें समोना चाहता हूँ मैं

मकान-ए-क़ल्ब में छोटा सा कोना चाहता हूँ मैं
जहाँ पर बैठकर दिन रात रोना चाहता हूँ मैं

कमाल-ए-ज़ब्त क्या है इसका मुझको इल्म हो जाए
यूँ पुश्त-ए-दिल पे बार-ए-हिज्र ढोना चाहता हूँ मैं

ज़माना बिस्तर-ए-मख़मल का ख़्वाहिश-मंद है या रब
मगर याँ ख़ाक के बिस्तर पे सोना चाहता हूँ मैं

न होगा सर-फिरा मुझसा कोई भी इस ज़माने में
वो जिसको पा लिया है उसको खोना चाहता हूँ मैं

जो फ़र्श-ए-ख़ाक पर बिखरी पड़ी है इश्क़ की तस्बीह
उसी को फिर से धागे में पिरोना चाहता हूँ मैं

ज़माना मेरा होने के लिए बे-ताब है लेकिन
ज़माने में तिरा बस तेरा होना चाहता हूँ मैं

'शजर' ख़ुद अपने हाथों से ये आँखों के समन्दर में
हसीं ख़्वाबों की कश्ती क्यों डुबोना चाहता हूँ मैं

  - Shajar Abbas

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari