dost gar ladkiyaan nahin hoti
ye haseen vaadiyaan nahin hoti
ham agar waqt par sambhal jaate
paanv mein bediyaan nahin hoti
tumko maaloom hi nahin shaayad
beeviyaan daasiyaan nahin hoti
aap gar ishq mein nahin hote
khoon kii ultiyaan nahin hoti
main agar baansuri bajaata nai
muntazir gopiyaa nahin hoti
ham jo aapas mein sulh kar lete
itni barbaadiyaan nahin hoti
dor daaton se kaat lete hain
paas jab qainchiyaan nahin hoti
दोस्त गर लड़कियाँ नहीं होतीं
ये हसीं वादियाँ नहीं होतीं
हम अगर वक़्त पर सँभल जाते
पाँव में बेड़ियाँ नहीं होतीं
तुमको मालूम ही नहीं शायद
बीवियाँ दासियाँ नहीं होतीं
आप गर इश्क़ में नहीं होते
ख़ून की उल्टियाँ नहीं होतीं
मैं अगर बाँसुरी बजाता नईं
मुन्तज़िर गोपियाँ नहीं होतीं
हम जो आपस में सुल्ह कर लेते
इतनी बर्बादियाँ नहीं होतीं
डोर दातों से काट लेते हैं
पास जब क़ैंचियाँ नहीं होतीं
As you were reading Shayari by Shivsagar Sahar
our suggestion based on Shivsagar Sahar
As you were reading undefined Shayari