ye dard-e-dil ye bebasi ye mushkilaat aur | ये दर्द-ए-दिल ये बेबसी ये मुश्किलात और

  - Adesh Rathore

ye dard-e-dil ye bebasi ye mushkilaat aur
jo kuchh hai uspe chahiye ik tera saath aur

har din main usko poochta hoon aur kitne din
har raat mujhse kehta hai bas ek raat aur

to kya tumhaari baat mein kuchh khaas baat hai
to kya tumhaare paas hain kuchh tajrabaat aur

bas do minute kii baat mein ghante laga diye
ye kahte kahte usne ki bas ek baat aur

milne ko tere baad bhi laakhon mile magar
un sabki baat aur thi aur teri baat aur

aadesh ham mile hi na hote to theek tha
bigdi hai tujhse mil ke meri jaan baat aur

ये दर्द-ए-दिल ये बेबसी ये मुश्किलात और
जो कुछ है उसपे चाहिए इक तेरा साथ और

हर दिन मैं उसको पूछता हूॅं और कितने दिन
हर रात मुझसे कहता है बस एक रात और

तो क्या तुम्हारी बात में कुछ ख़ास बात है
तो क्या तुम्हारे पास हैं कुछ तजरबात और

बस दो मिनट की बात में घंटे लगा दिए
ये कहते कहते उसने कि बस एक बात और

मिलने को तेरे बाद भी लाखों मिले मगर
उन सबकी बात और थी और तेरी बात और

आदेश हम मिले ही न होते तो ठीक था
बिगड़ी है तुझसे मिल के मेरी जान बात और

  - Adesh Rathore

More by Adesh Rathore

As you were reading Shayari by Adesh Rathore

Similar Writers

our suggestion based on Adesh Rathore

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari