thaka hoon par thehar jaane ka dar dekha nahin jaata | थका हूँ पर ठहर जाने का डर देखा नहीं जाता

  - Adesh Rathore

thaka hoon par thehar jaane ka dar dekha nahin jaata
nazar manzil pe atki hai safar dekha nahin jaata

main baitha hoon meri khaatir pitaa jee kaam karte hain
musalsal dekhta rehta hoon par dekha nahin jaata

tujhe dekha hai jis jis ne vo paagal ho chuke hain ab
tujhe dekhoon to phir tera asar dekha nahin jaata

ye duniya hai pathik rozi yahan aise hi chalti hai
tu aankhen band kar apni agar dekha nahin jaata

tere zulm o sitam teri ana manzoor hai lekin
tera jhukta hua ye sar ye sar dekha nahin jaata

थका हूँ पर ठहर जाने का डर देखा नहीं जाता
नज़र मंज़िल पे अटकी है सफ़र देखा नहीं जाता

मैं बैठा हूँ मेरी ख़ातिर पिता जी काम करते हैं
मुसलसल देखता रहता हूँ पर देखा नहीं जाता

तुझे देखा है जिस जिस ने वो पागल हो चुके हैं अब
तुझे देखूँ तो फिर तेरा असर देखा नहीं जाता

ये दुनिया है पथिक रोज़ी यहाँ ऐसे ही चलती है
तू आँखें बंद कर अपनी अगर देखा नहीं जाता

तेरे ज़ुल्म-ओ-सितम तेरी अना मंज़ूर है लेकिन
तेरा झुकता हुआ ये सर ये सर देखा नहीं जाता

  - Adesh Rathore

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adesh Rathore

As you were reading Shayari by Adesh Rathore

Similar Writers

our suggestion based on Adesh Rathore

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari