ik zamaana hai jo bekar samajhta hai mujhe
aur ik tu jo tera yaar samajhta hai mujhe
hai ye laazim ki tu bhola hai to bhola samjhe
varna har shakhs to hushiyaar samajhta hai mujhe
ek main hoon ki wafa lafz se waqif nahin hoon
ek tu hai ki wafadar samajhta hai mujhe
jaane kitnon kii hoon khwaahish jinhen haasil nahin main
jisko haasil hoon vo itwaar. samajhta hai mujhe
इक ज़माना है जो बेकार समझता है मुझे
और इक तू जो तेरा यार समझता है मुझे
है ये लाज़िम कि तू भोला है तो भोला समझे
वरना हर शख़्स तो हुशियार समझता है मुझे
एक मैं हूँ कि वफ़ा लफ़्ज़ से वाक़िफ़ नहीं हूँ
एक तू है कि वफ़ादार समझता है मुझे
जाने कितनों की हूँ ख़्वाहिश जिन्हें हासिल नहीं मैं
जिसको हासिल हूँ वो इतवार समझता है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Adesh Rathore
our suggestion based on Adesh Rathore
As you were reading Friendship Shayari Shayari