khoob aata hai taqalluf ko nibhaana usko | ख़ूब आता है तक़ल्लुफ़ को निभाना उसको

  - Aditya Singh aadi

khoob aata hai taqalluf ko nibhaana usko
jo milega vo bana legi deewana usko

usne khud hi mujhe majboor kiya hai varna
chahta kaun tha yun chhod ke jaana usko

isliye bhi vo mujhe jaan kaha karti thi
mujhmein dikhta tha koii yaar puraana usko

meri tasveer jo seene se laga baitha hai
meri bigdi hui taqdeer dikhaana usko

main tere shehar mein mashhoor nahin hoon phir bhi
koii pooche to mera naam bataana usko

mere jeete jee mere paas vo aane se raha
gar ho mumkin meri maiyyat pe bulaana usko

isse badhkar main use aur saza kya doonga
yaad rakkhega mere saath zamaana usko

ख़ूब आता है तक़ल्लुफ़ को निभाना उसको
जो मिलेगा वो बना लेगी दिवाना उसको

उसने ख़ुद ही मुझे मजबूर किया है वरना
चाहता कौन था यूँ छोड़ के जाना उसको

इसलिए भी वो मुझे जान कहा करती थी
मुझमें दिखता था कोई यार पुराना उसको

मेरी तस्वीर जो सीने से लगा बैठा है
मेरी बिगड़ी हुई तक़दीर दिखाना उसको

मैं तेरे शहर में मशहूर नहीं हूँ फिर भी
कोई पूछे तो मेरा नाम बताना उसको

मेरे जीते जी मेरे पास वो आने से रहा
गर हो मुमकिन मेरी मैय्यत पे बुलाना उसको

इससे बढ़कर मैं उसे और सज़ा क्या दूंँगा
याद रक्खेगा मेरे साथ ज़माना उसको

  - Aditya Singh aadi

More by Aditya Singh aadi

As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi

Similar Writers

our suggestion based on Aditya Singh aadi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari