kab tak rakhega qalb mein ab yaar fenk de | कब तक रखेगा क़ल्ब में अब यार फेंक दे

  - Daqiiq Jabaali

kab tak rakhega qalb mein ab yaar fenk de
ye be-fuzool maazi ka ambaar fenk de

main maanta hoon tujhpe ye janchta hai khoob par
meri salaah maan ye pindaar fenk de

chahe to jaan le meri par bakhsh de darkhat
hattaab apne haath se minshaar fenk de

haakim se bolo le zara manipur ka jaaizaa
sir se wagarana aaj hi dastaar fenk de

hathiyaar apne kar mein utha le tu dropadi
mohan se ab madad ke tu aasaar fenk de

haan uske dil mein tu nahin hai koii aur hai
uspar likhi ye nazm ye ashaar fenk de

allah apne mulk ke haalaat dekhkar
main to yahi kahunga ye sarkaar fenk de

कब तक रखेगा क़ल्ब में अब यार फेंक दे
ये बे-फ़ुज़ूल माज़ी का अम्बार फेंक दे

मैं मानता हूँ तुझपे ये जँचता है ख़ूब पर
मेरी सलाह मान ये पिंदार फेंक दे

चाहे तो जान ले मेरी पर बख़्श दे दरख़्त
हत्ताब अपने हाथ से मिंशार फेंक दे

हाकिम से बोलो ले ज़रा मणिपुर का जाइज़ा
सिर से वगरना आज ही दस्तार फेंक दे

हथियार अपने कर में उठा ले तू द्रोपदी
मोहन से अब मदद के तू आसार फेंक दे

हाँ उसके दिल में तू नहीं है कोई और है
उसपर लिखी ये नज़्म ये अशआर फेंक दे

अल्लाह अपने मुल्क के हालात देखकर
मैं तो यही कहूँगा ये सरकार फेंक दे

  - Daqiiq Jabaali

More by Daqiiq Jabaali

As you were reading Shayari by Daqiiq Jabaali

Similar Writers

our suggestion based on Daqiiq Jabaali

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari