kyun kisi aur ko dukh dard sunaau apne
apni aankhon se bhi main zakhm chhupaau apne
main to qaaim hoon tire gham kii badaulat varna
yun bikhar jaaun ki khud haath na aaun apne
sher logon ke bahut yaad hain auron ke liye
tu mile to main tujhe sher sunaau apne
tere raste ka jo kaanta bhi mayassar aaye
main use shauq se collar par sajaun apne
sochta hoon ki bujha doon mein ye kamre ka diya
apne saaye ko bhi kyun saath jagaaoon apne
us kii talwaar ne vo chaal chali hai ab ke
paanv kate hain agar haath bachaaun apne
aakhiri baat mujhe yaad hai us kii anwar
jaane waale ko gale se na lagaaun apne
क्यूँ किसी और को दुख दर्द सुनाऊँ अपने
अपनी आँखों से भी मैं ज़ख़्म छुपाऊँ अपने
मैं तो क़ाएम हूँ तिरे ग़म की बदौलत वरना
यूँ बिखर जाऊँ कि ख़ुद हाथ न आऊँ अपने
शे'र लोगों के बहुत याद हैं औरों के लिए
तू मिले तो मैं तुझे शेर सुनाऊँ अपने
तेरे रस्ते का जो काँटा भी मयस्सर आए
मैं उसे शौक़ से कॉलर पर सजाऊँ अपने
सोचता हूँ कि बुझा दूँ मैं ये कमरे का दिया
अपने साए को भी क्यूँ साथ जगाऊँ अपने
उसकी तलवार ने वो चाल चली है अब के
पाँव कटते हैं अगर हाथ बचाऊँ अपने
आख़िरी बात मुझे याद है उसकी 'अनवर'
जाने वाले को गले से न लगाऊँ अपने
As you were reading Shayari by Anwar Masood
our suggestion based on Anwar Masood
As you were reading undefined Shayari