Top 655+

Aankhein Shayari

Here is a curated collection of Aankhein shayari in Hindi. You can download HD images of all the Aankhein shayari on this page. These Aankhein Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Aankhein Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Aankhein shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

us se muhabbat

jheelein kya hain
uski aankhen

umda kya hai
uska chehra

khushboo kya hai
uski saansen

khushiyaan kya hain
uska hona

to gham kya hai
usse judaai

saawan kya hai
uska rona

sardi kya hai
uski udaasi

garmi kya hai
uska gussa

aur bahaarein
uska hansna

meetha kya hai
uski baatein

karwa kya hai
meri baatein

kya padhna hai
uska likkha

kya sunna hai
uski ghazlein

lab ki khwaahish
uska maatha

zakham ki khwaahish
uska choona

duniya kya hai
ik jungle hai

aur tum kya ho
ped samajh lo

aur vo kya hai
ik raahi hai

kya socha hai
us se muhabbat

kya karte ho
us se muhabbat

matlab pesha
us se muhabbat

is ke alaava
us se muhabbat

usse muhabbat
उस से मुहब्बत

झीलें क्या हैं?
उसकी आँखें

उम्दा क्या है?
उसका चेहरा

ख़ुश्बू क्या है?
उसकी साँसें

खुशियाँ क्या हैं?
उसका होना

तो ग़म क्या है?
उससे जुदाई

सावन क्या है?
उसका रोना

सर्दी क्या है?
उसकी उदासी

गर्मी क्या है?
उसका ग़ुस्सा

और बहारें?
उसका हँसना

मीठा क्या है?
उसकी बातें

कड़वा क्या है?
मेरी बातें

क्या पढ़ना है?
उसका लिक्खा

क्या सुनना है?
उसकी ग़ज़लें

लब की ख़्वाहिश?
उसका माथा

ज़ख़्म की ख़्वाहिश?
उसका छूना

दुनिया क्या है?
इक जंगल है

और तुम क्या हो?
पेड़ समझ लो

और वो क्या है?
इक राही है

क्या सोचा है?
उस से मुहब्बत

क्या करते हो?
उस से मुहब्बत

मतलब पेशा?
उस से मुहब्बत

इस के अलावा?
उस से मुहब्बत

उससे मुहब्बत........
Read Full
Varun Anand
311 Likes
tareekiyo ko aag lage aur diya jale
ye raat bein karti rahe aur diya jale

us ki zabaan mein itna asar hai ki nisf shab
vo raushni ki baat kare aur diya jale

tum chahte ho tum se bichhad ke bhi khush rahoon
ya'ni hawa bhi chalti rahe aur diya jale

kya mujh se bhi aziz hai tum ko diye ki lau
phir to mera mazaar bane aur diya jale

suraj to meri aankh se aage ki cheez hai
main chahta hoon shaam dhale aur diya jale

tum lautne mein der na karna ki ye na ho
dil teergi mein gher chuke aur diya jale
तारीकियों को आग लगे और दिया जले
ये रात बैन करती रहे और दिया जले

उस की ज़बाँ में इतना असर है कि निस्फ़ शब
वो रौशनी की बात करे और दिया जले

तुम चाहते हो तुम से बिछड़ के भी ख़ुश रहूँ
या'नी हवा भी चलती रहे और दिया जले

क्या मुझ से भी अज़ीज़ है तुम को दिए की लौ
फिर तो मेरा मज़ार बने और दिया जले

सूरज तो मेरी आँख से आगे की चीज़ है
मैं चाहता हूँ शाम ढले और दिया जले

तुम लौटने में देर न करना कि ये न हो
दिल तीरगी में घेर चुके और दिया जले
Read Full
Tehzeeb Hafi
zehan par zor dene se bhi yaad nahin aata ki hum kya dekhte the
sirf itna pata hai ki hum aam logon se bilkul juda dekhte the

tab humein apne purkhon se virse mein aayi hui baddua yaad aayi
jab kabhi apni aankhon ke aage tujhe shehar jaata hua dekhte the

sach bataayein to teri mohabbat ne khud par tavajjoh dilaai hamaari
tu humein choomta tha to ghar ja ke hum der tak aaina dekhte the

saara din ret ke ghar banaate hue aur girte hue beet jaata
shaam hote hi hum doorbeeno mein apni chhato se khuda dekhte the

us ladai mein dono taraf kuch sipaahi the jo neend mein bolte the
jang taltee nahin thi siroon se magar khwaab mein faakhta dekhte the

dost kisko pata hai ki waqt uski aankhon se phir kis tarah pesh aaya
hum ikatthe the hanste the rote the ik doosre ko bada dekhte the
ज़ेहन पर ज़ोर देने से भी याद नहीं आता कि हम क्या देखते थे
सिर्फ़ इतना पता है कि हम आम लोगों से बिल्कुल जुदा देखते थे

तब हमें अपने पुरखों से विरसे में आई हुई बद्दुआ याद आई
जब कभी अपनी आँखों के आगे तुझे शहर जाता हुआ देखते थे

सच बताएँ तो तेरी मोहब्बत ने ख़ुद पर तवज्जो दिलाई हमारी
तू हमें चूमता था तो घर जा के हम देर तक आईना देखते थे

सारा दिन रेत के घर बनाते हुए और गिरते हुए बीत जाता
शाम होते ही हम दूरबीनों में अपनी छतों से ख़ुदा देखते थे

उस लड़ाई में दोनों तरफ़ कुछ सिपाही थे जो नींद में बोलते थे
जंग टलती नहीं थी सिरों से मगर ख़्वाब में फ़ाख्ता देखते थे

दोस्त किसको पता है कि वक़्त उसकी आँखों से फिर किस तरह पेश आया
हम इकट्ठे थे हँसते​ थे रोते थे इक दूसरे को बड़ा दखते थे
Read Full
Tehzeeb Hafi
mujh se pehli si mohabbat meri mehboob na maang

mujh se pehli si mohabbat meri mehboob na maang
main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat
tera gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai
teri soorat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
teri aankhon ke siva duniya mein rakha kya hai
tu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
yun na tha main ne faqat chaaha tha yun ho jaaye
aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva

an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism
resham o atlas o kamkhaab mein bunwaaye hue
jaa-b-jaa bikte hue koocha-o-baazaar mein jism
khaak mein luthde hue khoon mein nahlaaye hue

jism nikle hue amraaz ke tannooron se
peep bahti hui galte hue naasooron se
laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye
ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye

aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva
mujh se pehli si mohabbat meri mehboob na maang
मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग

मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग
मैं ने समझा था कि तू है तो दरख़्शाँ है हयात
तेरा ग़म है तो ग़म-ए-दहर का झगड़ा क्या है
तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रक्खा क्या है
तू जो मिल जाए तो तक़दीर निगूँ हो जाए
यूँ न था मैं ने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाए
और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा

अन-गिनत सदियों के तारीक बहीमाना तिलिस्म
रेशम ओ अतलस ओ कमख़ाब में बुनवाए हुए
जा-ब-जा बिकते हुए कूचा-ओ-बाज़ार में जिस्म
ख़ाक में लुथड़े हुए ख़ून में नहलाए हुए

जिस्म निकले हुए अमराज़ के तन्नूरों से
पीप बहती हुई गलते हुए नासूरों से
लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे
अब भी दिलकश है तिरा हुस्न मगर क्या कीजे

और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा
मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग
Read Full
Faiz Ahmad Faiz
22 Likes
sirf khanjar hi nahin aankhon mein paani chahiye
ai khuda dushman bhi mujh ko khaandaani chahiye

shehar ki saari alif-lailaaein boodhi ho chuki
shahzaade ko koi taaza kahaani chahiye

main ne ai suraj tujhe pooja nahin samjha to hai
mere hisse mein bhi thodi dhoop aani chahiye

meri qeemat kaun de saka hai is bazaar mein
tum zulekha ho tumhein qeemat lagaani chahiye

zindagi hai ik safar aur zindagi ki raah mein
zindagi bhi aaye to thokar lagaani chahiye

main ne apni khushk aankhon se lahu chhalaka diya
ik samundar kah raha tha mujh ko paani chahiye
सिर्फ़ ख़ंजर ही नहीं आँखों में पानी चाहिए
ऐ ख़ुदा दुश्मन भी मुझ को ख़ानदानी चाहिए

शहर की सारी अलिफ़-लैलाएँ बूढ़ी हो चुकीं
शाहज़ादे को कोई ताज़ा कहानी चाहिए

मैं ने ऐ सूरज तुझे पूजा नहीं समझा तो है
मेरे हिस्से में भी थोड़ी धूप आनी चाहिए

मेरी क़ीमत कौन दे सकता है इस बाज़ार में
तुम ज़ुलेख़ा हो तुम्हें क़ीमत लगानी चाहिए

ज़िंदगी है इक सफ़र और ज़िंदगी की राह में
ज़िंदगी भी आए तो ठोकर लगानी चाहिए

मैं ने अपनी ख़ुश्क आँखों से लहू छलका दिया
इक समुंदर कह रहा था मुझ को पानी चाहिए
Read Full
Rahat Indori

LOAD MORE

How's your Mood?

Latest Blog