hasrat-e-dil jo sanwaarūń bhi to ghin aati hai
ab koii husn nihaaru bhi to ghin aati hai
ab teri or uthe aankhen ye hai baad kii baat
ab tera naam pukaaroon bhi to ghin aati hai
ishq karta jo wafa hota nahin koii malaal
yaad mein pal jo guzaarun bhi to ghin aati hai
ishq kii baazi bhala bewafa se kyun jeetoon
khud ko khud se hi jo haaroon bhi to ghin aati hai
ek vo daur tha tanhaai bhi thi melon sii
khud ko ab isse guzaarun bhi to ghin aati hai
dil bhi bacche kii tarah roz hi jaata hai machal
hasratein iski jo maarun bhi to ghin aati hai
mujh pe is ishq ke kuchh aise bhi hain ehsaanaat
us pe main jaan ko waaroon bhi to ghin aati hai
roshnai ne dukhaayi hai yun aankhen saahil
dukh ko kaaghaz pe utaarun bhi to ghin aati hai
हसरत-ए-दिल जो सँवारूँ भी तो घिन आती है
अब कोई हुस्न निहारूँ भी तो घिन आती है
अब तेरी ओर उठे आँखें ये है बाद की बात
अब तेरा नाम पुकारूँ भी तो घिन आती है
इश्क़ करता जो वफ़ा होता नहीं कोई मलाल
याद में पल जो गुज़ारूँ भी तो घिन आती है
इश्क़ की बाज़ी भला बेवफ़ा से क्यों जीतूँ
ख़ुद को ख़ुद से ही जो हारूँ भी तो घिन आती है
एक वो दौर था तन्हाई भी थी मेलों सी
ख़ुद को अब इससे गुज़ारूँ भी तो घिन आती है
दिल भी बच्चे की तरह रोज़ ही जाता है मचल
हसरतें इसकी जो मारूँ भी तो घिन आती है
मुझ पे इस इश्क़ के कुछ ऐसे भी हैं एहसानात
उस पे मैं जान को वारूँ भी तो घिन आती है
रौशनाई ने दुखाई है यूँ आँखें 'साहिल'
दुख को काग़ज़ पे उतारूँ भी तो घिन आती है
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari