ishq ka rog hua jaaye to lahaul padho
bewafa saamne aa jaaye to lahaul padho
ishq ke ain se aur husn ke he se na milo
haadisa koii mila jaaye to lahaul padho
bewafa ho to nahin maango kabhi ishq kii bheekh
chhod kar jab vo chala jaaye to lahaul padho
ishq ik rakh hai phir bhi koii naam-e-ishq
jab qaseeda vo suna jaaye to lahaul padho
usko ashkon kii rawaani se nikaalo baahar
koii aankhon mein samaa jaaye to lahaul padho
vaise to hone na do ishq ko haavi sar par
haan agar phir bhi ye chhaa jaaye to lahaul padho
sau qadam door raho ishq kii nagri se miyaan
paas maashooq jo aa jaaye to lahaul padho
kar to sakte nahin ab is se ziyaada kuchh bhi
deep aandhi ko bujha jaaye to lahaul padho
dard to dard hai har dard pe rona kaisa
jab bhi seene mein samaa jaaye to lahaul padho
jis ko har saans pe har waqt pukaara tumne
tum ko vo shakhs bhula jaaye to lahaul padho
jaane waala jo chala aaye to bakhsho izzat
aane waala jo chala jaaye to lahaul padho
pus kii raat hai aur us pe puraana kambal
baarish is par bhi jo aa jaaye to lahaul padho
aaj phir ishq mera yaad mujhe aaya hai
chain saahil ko jo aa jaaye to lahaul padho
इश्क़ का रोग हुआ जाए तो लाहौल पढ़ो
बेवफ़ा सामने आ जाए तो लाहौल पढ़ो
इश्क़ के ऐन से और हुस्न के हे से न मिलो
हादिसा कोई मिला जाए तो लाहौल पढ़ो
बेवफ़ा हो तो नहीं माँगो कभी इश्क़ की भीख
छोड़ कर जब वो चला जाए तो लाहौल पढ़ो
इश्क़ इक मर्सिया है फिर भी कोई नाम-ए-इश्क़
जब क़सीदा वो सुना जाए तो लाहौल पढ़ो
उसको अश्कों की रवानी से निकालो बाहर
कोई आँखों में समा जाए तो लाहौल पढ़ो
वैसे तो होने न दो इश्क़ को हावी सर पर
हाँ अगर फिर भी ये छा जाए तो लाहौल पढ़ो
सौ क़दम दूर रहो इश्क़ की नगरी से मियाँ
पास माशूक़ जो आ जाए तो लाहौल पढ़ो
कर तो सकते नहीं अब इस से ज़ियादा कुछ भी
दीप आँधी को बुझा जाए तो लाहौल पढ़ो
दर्द तो दर्द है हर दर्द पे रोना कैसा
जब भी सीने में समा जाए तो लाहौल पढ़ो
जिस को हर साँस पे हर वक़्त पुकारा तुमने
तुम को वो शख़्स भुला जाए तो लाहौल पढ़ो
जाने वाला जो चला आए तो बख़्शो इज़्ज़त
आने वाला जो चला जाए तो लाहौल पढ़ो
पूस की रात है और उस पे पुराना कंबल
बारिश इस पर भी जो आ जाए तो लाहौल पढ़ो
आज फिर इश्क़ मेरा याद मुझे आया है
चैन साहिल को जो आ जाए तो लाहौल पढ़ो
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari