mas'ala ye nahin hai ki vo bewafa ho gaya | मसअला ये नहीं है कि वो बेवफ़ा हो गया

  - A R Sahil "Aleeg"

mas'ala ye nahin hai ki vo bewafa ho gaya
bawafa ek maasoom dil karbala ho gaya

teri is bewafaai ka kaise karoon main difa
har koii poochta hai ye sab kaise kya ho gaya

di saja ishq ne ishq ko ishq karne kii ye
ain bhi sheen bhi qaaf bhi sab juda ho gaya

aitibar-e-wafa ka kiya qatl phir husn ne
ishq mein aaj phir se koii diljala ho gaya

roothe roothe se baithe ho kyun fer kar ham se munh
tum hamein kuchh bataoge bhi aaj kya ho gaya

zabt ke baad bhi aa gaya us pe kambakht dil
jaan-o-jee ka mere ye bhi dushman naya ho gaya

jiski zaahir thi badmaashiyan har gali-mor par
kaise maanoon main ye baat vo devta ho gaya

daur-e-haazir mein daulat hi hai har kisi ka khuda
koii apna nahin aaj ye tajriba ho gaya

hijr ka gham nahin mujh ko afsos bas itna hai
dil mera tod kar gham mein khud mubtila ho gaya

ban gai hai vo dulhan kisi aur kii aaj se
ishq ka khatm saahil har ik silsila ho gaya

मसअला ये नहीं है कि वो बेवफ़ा हो गया
बावफ़ा एक मासूम दिल कर्बला हो गया

तेरी इस बेवफ़ाई का कैसे करूँ मैं दिफ़ा
हर कोई पूछता है ये सब कैसे क्या हो गया

दी सजा इश्क़ ने इश्क़ को इश्क़ करने की ये
ऐन भी शीन भी क़ाफ़ भी सब जुदा हो गया

एतिबार-ए-वफ़ा का किया क़त्ल फिर हुस्न ने
इश्क़ में आज फिर से कोई दिलजला हो गया

रूठे रूठे से बैठे हो क्यूँ फेर कर हम से मुँह
तुम हमें कुछ बताओगे भी आज क्या हो गया

ज़ब्त के बाद भी आ गया उस पे कम्बख़्त दिल
जान-ओ-जी का मेरे ये भी दुश्मन नया हो गया

जिसकी ज़ाहिर थी बदमाशियाँ हर गली-मोड़ पर
कैसे मानूँ मैं ये बात वो देवता हो गया

दौर-ए-हाज़िर में दौलत ही है हर किसी का ख़ुदा
कोई अपना नहीं आज ये तज्रिबा हो गया

हिज्र का ग़म नहीं मुझ को अफ़सोस बस इतना है
दिल मेरा तोड़ कर ग़म में ख़ुद मुब्तिला हो गया

बन गई है वो दुल्हन किसी और की आज से
इश्क़ का ख़त्म 'साहिल' हर इक सिलसिला हो गया

  - A R Sahil "Aleeg"

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari