meri tahzeeb kii rag rag mein ravaan hai urdu | मेरी तहज़ीब की रग रग में रवाँ है उर्दू

  - A R Sahil "Aleeg"

meri tahzeeb kii rag rag mein ravaan hai urdu
fakhr hai is pe mujhe apni zabaan hai urdu

meer ka aks hai ghalib ka bayaan hai urdu
cheer ke dekhiye dil aap yahan hai urdu

har nishaane pe saleeqe se ye karti hai vaar
teer alfaaz hain aur unki kamaan hai urdu

jin ke haathon ne chhue hi na hon qirtaas-o-qalam
unko maaloom bhi kya hoga kahaan hai urdu

muddatein beet gaeein phir bhi nazaakat na gai
ab bhi lagta hai ki kamsin hai jawaan hai urdu

uske hothon pe muhabbat ke taraane hain abhi
uski madmast nigaahon se ayaan hai urdu

ham hain saahil ki hamein sirf muhabbat hai pasand
apne jazbaat ka andaaz-e-bayaan hai urdu

मेरी तहज़ीब की रग रग में रवाँ है उर्दू
फ़ख़्र है इस पे मुझे अपनी ज़बाँ है उर्दू

मीर का अक्स है ग़ालिब का बयाँ है उर्दू
चीर के देखिये दिल आप यहाँ है उर्दू

हर निशाने पे सलीक़े से ये करती है वार
तीर अल्फ़ाज़ हैं और उनकी कमाँ है उर्दू

जिन के हाथों ने छुए ही न हों क़िर्तास-ओ-क़लम
उनको मालूम भी क्या होगा कहाँ है उर्दू

मुद्दतें बीत गईं फिर भी नज़ाकत न गई
अब भी लगता है कि कमसिन है जवाँ है उर्दू

उसके होठों पे मुहब्बत के तराने हैं अभी
उसकी मदमस्त निगाहों से अयाँ है उर्दू

हम हैं 'साहिल' कि हमें सिर्फ़ मुहब्बत है पसंद
अपने जज़्बात का अंदाज़-ए-बयाँ है उर्दू

  - A R Sahil "Aleeg"

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari