pehle to dhadka kai roz tere naam se dil
phir kahin ka na raha aur gaya kaam se dil
sochta hoon main bhala kaise kategi ye raat
teri yaadon se hai bechain mera shaam se dil
chaaragar koii naya nuskha agar hai to bata
ab kisi taur bahalta hi nahin jaam se dil
ham bhi bazaar se le aate koii aur naya
ham ko bhi hota mayassar jo yahan daam se dil
aane waale ka zara aur tu tak le rasta
gar dhadknaa hai dhadak thoda sa aaraam se dil
kya bharosa hai pighal jaaye kahaan dhoop mein ye
rabt rakhta hi nahin mom ke andaam se dil
ye ibadat ye namaazen ye tilaavat hain fuzool
jab ki darta nahin allah tere naam se dil
aur hi hoga vo deewaana nahin ho saktaa
ho na labrez agar dard ke kohraam se dil
ham ne bhi sar se kafan baandh liya hai saahil
khauf khaata hi nahin ab kisi anjaam se dil
पहले तो धड़का कई रोज़ तेरे नाम से दिल
फिर कहीं का न रहा और गया काम से दिल
सोचता हूँ मैं भला कैसे कटेगी ये रात
तेरी यादों से है बेचैन मेरा शाम से दिल
चारागर कोई नया नुस्ख़ा अगर है तो बता
अब किसी तौर बहलता ही नहीं जाम से दिल
हम भी बाज़ार से ले आते कोई और नया
हम को भी होता मयस्सर जो यहाँ दाम से दिल
आने वाले का ज़रा और तू तक ले रस्ता
गर धड़कना है धड़क थोड़ा सा आराम से दिल
क्या भरोसा है पिघल जाए कहाँ धूप में ये
रब्त रखता ही नहीं मोम के अंदाम से दिल
ये इबादत ये नमाज़ें ये तिलावत हैं फ़ुज़ूल
जब कि डरता नहीं अल्लाह तेरे नाम से दिल
और ही होगा वो दीवाना नहीं हो सकता
हो न लबरेज़ अगर दर्द के कोहराम से दिल
हम ने भी सर से कफ़न बाँध लिया है 'साहिल'
ख़ौफ़ खाता ही नहीं अब किसी अंजाम से दिल
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari