wajah-e-barbaadi tha mera ishq aur shaamil ghazal
kar raha hai ishq phir bhi kah raha hai dil ghazal
arz kar tu aisa jis se khil uthe saara samaan
tujh se sunne ke liye betaab hai mehfil ghazal
baad iske shauq se tu qatl kar dena mera
pehle mujh se sun to le tu ai mere qaatil ghazal
toote phoote chaar chh ashaar hain meri asaas
main kahaan kehta hoon koii aapke qabil ghazal
ab to deni hi padegi aapke is fan kii daad
har taraf phirti hai karti aapki jhilmil ghazal
is ke peechhe chalte hain haalaat ke gard-o-ghubaar
har suhan-var ke liye hoti hai ik mahmil ghazal
be-shauroon kii gali mein jab se aayi hai janab
har taraf se jal rahi hai dekhiye til til ghazal
bas isi ja baith kar karna hai ab arz-e-sukhan
aur apni to yahi hai aakhiri manzil ghazal
jis par aakar chain paata hai mera har ik khayaal
dard kii bahti nadi ka hai yahi saahil ghazal
वजह-ए-बर्बादी था मेरा इश्क़ और शामिल ग़ज़ल
कर रहा है इश्क़ फिर भी कह रहा है दिल ग़ज़ल
'अर्ज़ कर तू ऐसा जिस से खिल उठे सारा समाँ
तुझ से सुनने के लिए बेताब है महफ़िल ग़ज़ल
बाद इसके शौक़ से तू क़त्ल कर देना मेरा
पहले मुझ से सुन तो ले तू ऐ मेरे क़ातिल ग़ज़ल
टूटे फूटे चार छह अशआर हैं मेरी असास
मैं कहाँ कहता हूँ कोई आपके क़ाबिल ग़ज़ल
अब तो देनी ही पड़ेगी आपके इस फ़न की दाद
हर तरफ़ फिरती है करती आपकी झिलमिल ग़ज़ल
इस के पीछे चलते हैं हालात के गर्द-ओ-ग़ुबार
हर सुख़न-वर के लिए होती है इक महमिल ग़ज़ल
बे-शऊरों की गली में जब से आई है जनाब
हर तरफ़ से जल रही है देखिए तिल तिल ग़ज़ल
बस इसी जा बैठ कर करना है अब अर्ज़-ए-सुख़न
और अपनी तो यही है आख़िरी मंज़िल ग़ज़ल
जिस पर आकर चैन पाता है मेरा हर इक ख़याल
दर्द की बहती नदी का है यही साहिल ग़ज़ल
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari