dard gham aur khushi ghazal ki hai | दर्द ग़म और खुशी ग़ज़ल की है

  - A R Sahil "Aleeg"

dard gham aur khushi ghazal ki hai
sher aur shaayri ghazal ki hai

jitni bhi nazuki ghazal ki hai
bas yahi bebaasi ghazal ki hai

ishq gham vasl hijr tees kasak
guftagoo sab yahi ghazal ki hai

ik ghazaala hai mere khwaabon mein
jis ke sar odhni ghazal ki hai

jitne shaair hain teri duniya mein
sab ke sar aashiqi ghazal ki hai

kah rahi hai chale bhi aao tum
sun sada ye meri ghazal ki hai

dekh le ik tere na hone se
kitni sooni gali ghazal ki hai

khush na ho ae hawa bujha ke charaagh
ham pe kuchh raushni ghazal ki hai

sirf aur sirf maangti hai khooon
kya ajab tishnagi ghazal ki hai

is mein hi umr kaat di hamne
ye hi jo jhonpdi ghazal ki hai

main sukhaata hoon is pe kuchh misre
dil mein jo alagni ghazal ki hai

aaj hain zehno-dil mere raushan
aaj phir chaandni ghazal ki hai

chaandni shab saba ghazaala main
ye kahaani kisi ghazal ki hai

sher saahil ye aakhiri hai aur
dard ye aakhiri ghazal ki hai

दर्द ग़म और खुशी ग़ज़ल की है
शेर और शाइरी ग़ज़ल की है

जितनी भी नाज़ुकी ग़ज़ल की है
बस यही बेबसी ग़ज़ल की है

इश्क़, ग़म, वस्ल, हिज्र, टीस, कसक
गुफ्तगू सब यही गज़ल की है

इक गज़ाला है मेरे ख़्वाबों में
जिस के सर ओढ़नी ग़ज़ल की है

जितने शाइर हैं तेरी दुनिया में
सब के सर आशिकी ग़ज़ल की है

कह रही है, चले भी आओ तुम
सुन सदा ये मेरी ग़ज़ल की है

देख ले इक तेरे न होने से
कितनी सूनी गली ग़ज़ल की है

ख़ुश न हो ए हवा बुझा के चराग़
हम पे कुछ रौशनी ग़ज़ल की है

सिर्फ़ और सिर्फ़ मांगती है खूँ
क्या अजब तिश्नगी ग़ज़ल की है

इस में ही उम्र काट दी हमने
ये ही जो झोंपड़ी ग़ज़ल की है

मैं सुखाता हूँ इस पे कुछ मिसरे
दिल में जो अलगनी ग़ज़ल की है

आज हैं ज़ेहनो-दिल मेरे रौशन
आज फिर चाँदनी ग़ज़ल की है

चाँदनी शब, सबा, गज़ाला, मैं
ये कहानी किसी ग़ज़ल की है

शेर साहिल ये आख़िरी है और
दर्द ये आख़िरी ग़ज़ल की है

  - A R Sahil "Aleeg"

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari