ghar se bhi kuchh ghamon kii tawaanai le ke ja
pardes ja raha hai to tanhaai le ke ja
raaton kii teergi na dasegi nigaah ko
husn-e-shab-e-wisaal kii angadaai le ke ja
jis anjuman mein jurm hai jurrat-e-goiyaai
us anjuman mein chehra-e-gulgul le ke ja
na-aashnaa hai tujhse tira shehr-e-aarzoo
fitrat mein apni anjuman aaraai le ke ja
pardo kii anjuman mein naqaabon kii bazm mein
jaana hi chahta hai to beenaai le ke ja
aankhon mein sabza-zaar ka manzar samet le
saanson mein apne gaav kii purwaai le ke ja
ab hai yahi bashar mera sarmaaya-e-hayaat
ruswaai kaam aayegi ruswaai le ke ja
घर से भी कुछ ग़मों की तवानाई ले के जा
परदेस जा रहा है तो तन्हाई ले के जा
रातों की तीरगी न डसेगी निगाह को
हुस्न-ए-शब-ए-विसाल की अँगड़ाई ले के जा
जिस अंजुमन में जुर्म है इज़हार-ए-मुद्द'आ
उस अंजुमन में जुर्रत-ए-गोयाई ले के जा
ना-आश्ना है तुझसे तिरा शहर-ए-आरज़ू
फ़ितरत में अपनी अंजुमन आराई ले के जा
पर्दों की अंजुमन में नक़ाबों की बज़्म में
जाना ही चाहता है तो बीनाई ले के जा
आँखों में सब्ज़ा-ज़ार का मंज़र समेट ले
साँसों में अपने गाँव की पुरवाई ले के जा
अब है यही 'बशर' मिरा सरमाया-ए-हयात
रुसवाई काम आएगी रुसवाई ले के जा
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading undefined Shayari