ai ishq main kahaan hoon mujhe kuchh pata nahin
sar par falak nahin hai zameen zer-e-paa nahin
gar vo nahin to phir koii mera khuda nahin
kaise kahoon ki usse koii vaasta nahin
afsos ye thikaana bahut der ka nahin
ai dil wagarana dekh ki duniya mein kya nahin
haq apna rakhta hoon main kabhi maangata nahin
jurat mere mizaaj mein hai iltijaa nahin
ab tak to be-niyaazi-e-duniya ka ranj tha
ab tu bhi mera haal kabhi poochta nahin
pehle bhi dil mein dard utha hai bahaar mein
ehsaas kah raha hai ki ye gham naya nahin
maine kaha ki teri nigaahon mein kya hoon main
usne kaha ki ghar mein tire aaina nahin
kashti pe laakh zor ho toofaan par kahaan
ham na-khuda zaroor hain lekin khuda nahin
hai chaaragar ko vaham khuda hone ka bashar
aur is jahaan mein vaham kii koii dava nahin
ऐ इश्क़ मैं कहाँ हूँ मुझे कुछ पता नहीं
सर पर फ़लक नहीं है ज़मीं ज़ेर-ए-पा नहीं
गर वो नहीं तो फिर कोई मेरा ख़ुदा नहीं
कैसे कहूँ कि उससे कोई वास्ता नहीं
अफ़सोस ये ठिकाना बहुत देर का नहीं
ऐ दिल वगरना देख कि दुनिया में क्या नहीं
हक़ अपना रखता हूँ मैं कभी माँगता नहीं
जुरअत मिरे मिज़ाज में है इल्तिजा नहीं
अब तक तो बे-नियाज़ी-ए-दुनिया का रंज था
अब तू भी मेरा हाल कभी पूछता नहीं
पहले भी दिल में दर्द उठा है बहार में
एहसास कह रहा है कि ये ग़म नया नहीं
मैंने कहा कि तेरी निगाहों में क्या हूँ मैं
उसने कहा कि घर में तिरे आईना नहीं
कश्ती पे लाख ज़ोर हो तूफ़ान पर कहाँ
हम ना-ख़ुदा ज़रूर हैं लेकिन ख़ुदा नहीं
है चारागर को वहम ख़ुदा होने का 'बशर'
और इस जहाँ में वहम की कोई दवा नहीं
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading undefined Shayari