dastaanon mein mile the dastaan rah jaayenge
umr boodhi ho to ho ham naujavaan rah jaayenge
shaam hote hi gharo ko laut jaana hai hamein
sahilon par sirf qadmon ke nishaan rah jaayenge
ham kisi ke dil mein rahna chahte the is tarah
jis tarah ab guftugoo ke darmiyaan rah jaayenge
khwaab ko har khwaab kii taabeer milti hai kahaan
kuchh khayal aise bhi hain jo raayegaan rah jaayenge
kis ne socha tha ki rang-o-noor kii baarish ke baad
ham faqat bujhte charaagon ka dhuaan rah jaayenge
zindagi be-naam rishton ke siva kuchh bhi nahin
jism kis ke saath honge dil kahaan rah jaayenge
दास्तानों में मिले थे दास्ताँ रह जाएँगे
उम्र बूढ़ी हो तो हो हम नौजवाँ रह जाएँगे
शाम होते ही घरों को लौट जाना है हमें
साहिलों पर सिर्फ़ क़दमों के निशाँ रह जाएँगे
हम किसी के दिल में रहना चाहते थे इस तरह
जिस तरह अब गुफ़्तुगू के दरमियाँ रह जाएँगे
ख़्वाब को हर ख़्वाब की ताबीर मिलती है कहाँ
कुछ ख़याल ऐसे भी हैं जो राएगाँ रह जाएँगे
किस ने सोचा था कि रंग-ओ-नूर की बारिश के बाद
हम फ़क़त बुझते चराग़ों का धुआँ रह जाएँगे
ज़िन्दगी बे-नाम रिश्तों के सिवा कुछ भी नहीं
जिस्म किस के साथ होंगे दिल कहाँ रह जाएँगे
As you were reading Shayari by Fazil Jamili
our suggestion based on Fazil Jamili
As you were reading undefined Shayari