paamaal raste aur hi dushwaar hote dil mere | पामाल रस्ते और ही दुश्वार होते दिल मेरे

  - Manohar Shimpi

paamaal raste aur hi dushwaar hote dil mere
ishq-e-safar mein khoob hi deedaar hote dil mere

fitrat koii bhi ho magar dildaar bhi milte kabhi
un mein base bhi to kai kirdaar hote dil mere

thoda bharosa un pe bhi karna hamein hai ham-nava
apne qareebi bhi bahut darkaar hote dil mere

mushkil ghadi me ham-nafs pehle khade hote sabhi
saathi purane saath mein har baar hote dil mere

akshar rah-e-ulfat kahaan hoti siyaasat mein kabhi
ai daanv hota to humeen sarkaar hote dil mere

har din manohar khaas jab hote sabhi ke hi liye
saptah mein kyun saath din itwaar. hote dil mere

पामाल रस्ते और ही दुश्वार होते दिल मेरे
इश्क़-ए-सफ़र में ख़ूब ही दीदार होते दिल मेरे

फ़ितरत कोई भी हो मगर दिलदार भी मिलते कभी
उन में बसे भी तो कई किरदार होते दिल मेरे

थोड़ा भरोसा उन पे भी करना हमें है हम-नवा
अपने क़रीबी भी बहुत दरकार होते दिल मेरे

मुश्किल घड़ी मे हम-नफ़स पहले खड़े होते सभी
साथी पुराने साथ में हर बार होते दिल मेरे

अक्सर रह-ए-उल्फ़त कहाँ होती सियासत में कभी
ऐ दाँव होता तो हमीं सरकार होते दिल मेरे

हर दिन 'मनोहर' ख़ास जब होते सभी के ही लिए
सप्ताह में क्यूँ सात दिन इतवार होते दिल मेरे

  - Manohar Shimpi

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari