sher sunne ke liye irshaad kahte hain sabhi
daad dete aur zindabaad kahte hain sabhi
haan hamiiyyat ke bina jeena lage dushwaar hai
haath jakde aur phir azaad kahte hain sabhi
ik nazar se jab badal jaaye fazaa bhi hum-nasheen
isliye lagta tumhein dil-shaad kahte hain sabhi
karb se jeena qaza hi hai kisi ke bhi liye
aise rahne ko kahaan aabaad kahte hain sabhi
aaj ke sayyaad bhi hote bade chaalaak hain
zaal faila ke kiya barbaad kahte hain sabhi
khel bachpan ka manohar khelta hi kaun hai
ab khade hokar kahaan taadaad kahte hain sabhi
शेर सुनने के लिए इरशाद कहते हैं सभी
दाद देते और ज़िंदाबाद कहते हैं सभी
हाँ हमिय्यत के बिना जीना लगे दुश्वार है
हाथ जकड़े और फिर आज़ाद कहते हैं सभी
इक नज़र से जब बदल जाए फ़ज़ा भी हम-नशीं
इसलिए लगता तुम्हें दिल-शाद कहते हैं सभी
कर्ब से जीना क़ज़ा ही है किसी के भी लिए
ऐसे रहने को कहाँ आबाद कहते हैं सभी
आज के सय्याद भी होते बड़े चालाक हैं
ज़ाल फैला के किया बर्बाद कहते हैं सभी
खेल बचपन का मनोहर खेलता ही कौन है
अब खड़े होकर कहाँ तादाद कहते हैं सभी
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari