raah vo jaane na pahchaane safar ke to hain
vo jahaan se hai usi hi ham nagar ke to hain
ghoomte hai dar-b-dar yun hi kahi to ham bhi
jaante kuchh hai nahin phir bhi kidhar ke to hain
hain thikaana bhi hamaara is jahaan mein yaaron
haan idhar ke ya udhar ke koi ghar ke to hain
mahz bacche hain nahin jo khelte hi rahte
raah mein badhte chale hain us dagar ke to hain
farq rangon mein kahaan sab ke raha hai gahra
phool saare ek jaise us shajar ke to hain
dasht mein bhi ped saare hi hare thode hain
ek jaise hain nahin ham ik safar ke to hain
roz ham bhi dekhte hain ab badalte insaan
kuchh jigar waale usi mein se khabar ke to hain
राह वो जाने न पहचाने सफ़र के तो हैं
वो जहाँ से है उसी ही हम नगर के तो हैं
घूमते है दर-ब-दर यूँ ही कहीं तो हम भी
जानते कुछ है नहीं फिर भी किधर के तो हैं
हैं ठिकाना भी हमारा इस जहाँ में यारों
हाँ इधर के या उधर के कोई घर के तो हैं
महज़ बच्चे हैं नहीं जो खेलते ही रहते
राह में बढ़ते चले हैं उस डगर के तो हैं
फ़र्क़ रंगों में कहाँ सब के रहा है गहरा
फूल सारे एक जैसे उस शजर के तो हैं
दश्त में भी पेड़ सारे ही हरे थोड़े हैं
एक जैसे हैं नहीं हम इक सफ़र के तो हैं
रोज़ हम भी देखते हैं अब बदलते इंसाँ
कुछ जिगर वाले उसी में से ख़बर के तो हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Shajar Shayari Shayari