yaad koii tera sabab aaya
dhyaan mein der se ghazab aaya
jab use hi qareeb se dekha
daf'atan phir mujhe adab aaya
khwaahishein aur bhi raheen meri
laut ke khwaab vo ajab aaya
arzu-e-wisaal hi hoti
zehan mein khaam be-sabab aaya
us jhuki sii nigaah se hi to
ai adab aur ba-adab aaya
याद कोई तेरा सबब आया
ध्यान में देर से ग़ज़ब आया
जब उसे ही क़रीब से देखा
दफ़'अतन फिर मुझे अदब आया
ख़्वाहिशें और भी रहीं मेरी
लौट के ख़्वाब वो अजब आया
आरज़ू-ए-विसाल ही होती
ज़ेहन में ख़ाम बे-सबब आया
उस झुकी सी निगाह से ही तो
ऐ अदब और बा-अदब आया
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari