zindagi jeene ka pehle hausla paida karo
sirf unche khoobsurat khwaab mat dekha karo
dukh andheron ka agar mitaa nahin hai zehan se
raat ke daaman ko apne khoon se ujla karo
khud ko poshida na rakho band kaliyon kii tarah
phool kahte hain tumhein sab log to mahka karo
zindagi ke naam-leva maut se darte nahin
haadson ka khauf le kar ghar se mat nikla karo
rehnuma ye dars ham ko de rahe hain aaj-kal
bech do sacchaaiyaan imaan ka sauda karo
taish mein aane lage tum to meri tanqeed par
is qadar hassaas ho to aaina dekha karo
ज़िंदगी जीने का पहले हौसला पैदा करो
सिर्फ़ ऊँचे ख़ूबसूरत ख़्वाब मत देखा करो
दुख अँधेरों का अगर मिटता नहीं है ज़ेहन से
रात के दामन को अपने ख़ून से उजला करो
ख़ुद को पोशीदा न रक्खो बंद कलियों की तरह
फूल कहते हैं तुम्हें सब लोग तो महका करो
ज़िंदगी के नाम-लेवा मौत से डरते नहीं
हादसों का ख़ौफ़ ले कर घर से मत निकला करो
रहनुमा ये दर्स हम को दे रहे हैं आज-कल
बेच दो सच्चाइयाँ ईमान का सौदा करो
तैश में आने लगे तुम तो मिरी तन्क़ीद पर
इस क़दर हस्सास हो तो आइना देखा करो
As you were reading Shayari by Manzar Bhopali
our suggestion based on Manzar Bhopali
As you were reading undefined Shayari