gham mein dil mubtala nahin hota
ab tira tazkira nahin hota
kuchh na kuchh vaasta to rehta hai
jis se kuchh vaasta nahin hota
tum nahin jaante mohabbat mein
faasla faasla nahin hota
kis tarah doston ko samjhaaoon
us se ab raabta nahin hota
sab ko hairat hai meri haalat par
main ki hairat-zada nahin hota
kaise kah doon use mohabbat hai
vo to mujh se khafa nahin hota
zakhm-e-ulfat vo zakhm hai jis mein
koii marham dava nahin hota
laakh karta hoon koshishein ashraf
tark-e-ahad-e-wafa nahin hota
ग़म में दिल मुब्तला नहीं होता
अब तिरा तज़्किरा नहीं होता
कुछ न कुछ वास्ता तो रहता है
जिस से कुछ वास्ता नहीं होता
तुम नहीं जानते मोहब्बत में
फ़ासला, फ़ासला नहीं होता
किस तरह दोस्तों को समझाऊँ
उस से अब राब्ता नहीं होता
सब को हैरत है मेरी हालत पर
मैं कि हैरत-ज़दा नहीं होता
कैसे कह दूँ उसे मोहब्बत है
वो तो मुझ से ख़फ़ा नहीं होता
ज़ख़्म-ए-उल्फ़त वो ज़ख़्म है जिस में
कोई मरहम दवा नहीं होता
लाख करता हूँ कोशिशें "अशरफ़"
तर्क-ए-अहद-ए-वफ़ा नहीं होता
As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf
our suggestion based on Meem Maroof Ashraf
As you were reading undefined Shayari