chhod kar mujh ko kahi aur agar jaana hai | छोड़ कर मुझ को कहीं और अगर जाना है - Meem Maroof Ashraf

chhod kar mujh ko kahi aur agar jaana hai
ja ijaazat hai tujhe tujh ko jidhar jaana hai

tu to khushboo hai kisi samt chala jaayega
main hoon ik ret ka paikar so bikhar jaana hai

ek muddat hai hui raah mein chalte lekin
is ka jaana hi nahin hai ki kidhar jaana hai

ab tiri yaad bhi kab mujh pe asar karti hai
tu bhi ik roz mere dil se utar jaana hai

ham to aashiq hain miyaan ham hain shabon ke aadi
aap ja sakte hain gar aap ko ghar jaana hai

laakh pad jaayen hamein jaan ke laale lekin
jaan tujh ko hi meri jaan magar jaana hai

karte rahna hai tire peeche wafa ke da'we
saamne tere magar munh pe mukar jaana hai

kijeye fir'aun se shaddaad se ibarat haasil
zer ye ho gaye saare jo zubar jaana hai

bas yahi sochte ham tum to na nafrat karte
na sahi aaj magar kal hamein mar jaana hai

hone doonga na kami chehre se zaahir teri
hijr mein yaar tire aur nikhar jaana hai

ab ke bichhde hain to ye jee mein hai aaya qaisar
ab nahin jeena yahan jaan se guzar jaana hai

छोड़ कर मुझ को कहीं और अगर जाना है
जा इजाज़त है तुझे तुझ को जिधर जाना है

तू तो ख़ुशबू है किसी सम्त चला जाएगा
मैं हूँ इक रेत का पैकर सो बिखर जाना है

एक मुद्दत है हुई राह में चलते लेकिन
इस का जाना ही नहीं है कि किधर जाना है

अब तिरी याद भी कब मुझ पे असर करती है
तू भी इक रोज़ मिरे दिल से उतर जाना है

हम तो आशिक़ हैं मियाँ हम हैं शबों के आदी
आप जा सकते हैं गर आप को घर जाना है

लाख पड़ जाएँ हमें जान के लाले लेकिन
जान तुझ को ही मिरी जान मगर जाना है

करते रहना है तिरे पीछे वफ़ा के दा'वे
सामने तेरे मगर मुँह पे मुकर जाना है

कीजे फ़िर'औन से शद्दाद से इबरत हासिल
ज़ेर ये हो गए सारे जो ज़बर जाना है

बस यही सोचते हम तुम तो न नफ़रत करते
न सही आज मगर कल हमें मर जाना है

होने दूँगा न कमी चेहरे से ज़ाहिर तेरी
हिज्र में यार तिरे और निखर जाना है

अब के बिछड़े हैं तो ये जी में है आया 'क़ैसर'
अब नहीं जीना यहाँ जाँ से गुज़र जाना है

- Meem Maroof Ashraf
2 Likes

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Maroof Ashraf

As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf

Similar Writers

our suggestion based on Meem Maroof Ashraf

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari