tere baare mein jab socha nahin tha
main tanhaa tha magar itna nahin tha
teri tasveer se karta tha baatein
mere kamre mein aaina nahin tha
samundar ne mujhe pyaasa hi rakkha
main jab sehra mein tha pyaasa nahin tha
manaane roothne ke khel mein ham
bichhad jaayenge ye socha nahin tha
suna hai band kar leen usne aankhen
kai raaton se vo soya nahin tha
तेरे बारे में जब सोचा नहीं था
मैं तन्हा था मगर इतना नहीं था
तेरी तस्वीर से करता था बातें
मेरे कमरे में आईना नहीं था
समुंदर ने मुझे प्यासा ही रक्खा
मैं जब सहरा में था प्यासा नहीं था
मनाने रूठने के खेल में हम
बिछड़ जाएँगे ये सोचा नहीं था
सुना है बंद कर लीं उसने आँखें
कई रातों से वो सोया नहीं था
As you were reading Shayari by Meraj Faizabadi
our suggestion based on Meraj Faizabadi
As you were reading undefined Shayari