bikhre bikhre sahme sahme roz-o-shab dekhega kaun
log tera jurm dekhenge sabab dekhega kaun
haath mein sone ka qaasa le ke aaye hain faqeer
is numaaish mein tira dast-e-talab dekhega kaun
la utha tesha chataanon se koii chashma nikaal
sab yahan pyaase hain tere khushk lab dekhega kaun
doston kii be-gharz ham-dardiyan thak jaayengi
jism par itni kharaashein hain ki sab dekhega kaun
shaayari mein meer'-o-'ghalib ke zamaane ab kahaan
shohraten jab itni sasti hon adab dekhega kaun
बिखरे बिखरे सहमे सहमे रोज़-ओ-शब देखेगा कौन
लोग तेरा जुर्म देखेंगे सबब देखेगा कौन
हाथ में सोने का कासा ले के आए हैं फ़क़ीर
इस नुमाइश में तिरा दस्त-ए-तलब देखेगा कौन
ला उठा तेशा चटानों से कोई चश्मा निकाल
सब यहाँ प्यासे हैं तेरे ख़ुश्क लब देखेगा कौन
दोस्तों की बे-ग़रज़ हम-दर्दियाँ थक जाएँगी
जिस्म पर इतनी ख़राशें हैं कि सब देखेगा कौन
शाइरी में 'मीर'-ओ-'ग़ालिब' के ज़माने अब कहाँ
शोहरतें जब इतनी सस्ती हों अदब देखेगा कौन
As you were reading Shayari by Meraj Faizabadi
our suggestion based on Meraj Faizabadi
As you were reading undefined Shayari