aakhir ko vahshaton ka saleeqa sa ho gaya | आख़िर को वहशतों का सलीक़ा सा हो गया

  - Naseer Turabi

aakhir ko vahshaton ka saleeqa sa ho gaya
chalte rahe to raasta apna sa ho gaya

thi be-dili bhi raah mein deewaar kii tarah
lahraai ik sada ki dareecha sa ho gaya

the aainon mein ham to koii dekhta na tha
aaina kya hue ki tamasha sa ho gaya

guzra tha kab idhar se umeedon ka ye hujoom
itne diye jale ki andhera sa ho gaya

achha bahut laga vo sitaaron ka tootna
raat apne jee ka bojh bhi halka sa ho gaya

yun dil-dahee ko din bhi hua raat bhi hui
guzri kahaan hai umr guzaara sa ho gaya

har shaam ik malaal kii aadat sii ho gai
milne ka intizaar bhi milna sa ho gaya

आख़िर को वहशतों का सलीक़ा सा हो गया
चलते रहे तो रास्ता अपना सा हो गया

थी बे-दिली भी राह में दीवार की तरह
लहराई इक सदा कि दरीचा सा हो गया

थे आइनों में हम तो कोई देखता न था
आईना क्या हुए कि तमाशा सा हो गया

गुज़रा था कब इधर से उमीदों का ये हुजूम
इतने दिए जले कि अँधेरा सा हो गया

अच्छा बहुत लगा वो सितारों का टूटना
रात अपने जी का बोझ भी हल्का सा हो गया

यूँ दिल-दही को दिन भी हुआ रात भी हुई
गुज़री कहाँ है उम्र गुज़ारा सा हो गया

हर शाम इक मलाल की आदत सी हो गई
मिलने का इंतिज़ार भी मिलना सा हो गया

  - Naseer Turabi

More by Naseer Turabi

As you were reading Shayari by Naseer Turabi

Similar Writers

our suggestion based on Naseer Turabi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari