isse badhkar aur kya mujhko khazana chahiye
bas teri zulfon mein khud ka aashiyana chahiye
ek pinjare mein guzaare itne din kya kam hai ye
ab to is panchi ko ambar tod jaana chahiye
maa gai us din se main yun sochta rehta hoon bas
ho na ho us rooh ko phir laut aana chahiye
boodhe baashindon ne kyun chhoda hamaare ghar ko yun
kuchh bhi karke ab unhen hamne manana chahiye
aapki is meherbaani ko nahin bhoolenge ham
aapne is dil ka rasta bhool jaana chahiye
bas buzurgon ke hi qadmon mein hai zannat sa sukoon
nitya har akhbaar mein isko chhapaana chahiye
इससे बढ़कर और क्या मुझको ख़ज़ाना चाहिए
बस तेरी ज़ुल्फ़ों में ख़ुद का आशियाना चाहिए
एक पिंजरे में गुजारे इतने दिन क्या कम है ये
अब तो इस पंछी को अंबर तोड़ जाना चाहिए
माँ गई उस दिन से मैं यूँ सोचता रहता हूँ बस
हो न हो उस रूह को फिर लौट आना चाहिए
बूढ़े बाशिंदों ने क्यों छोड़ा हमारे घर को यूँ
कुछ भी करके अब उन्हें हमने मनाना चाहिए
आपकी इस मेहरबानी को नहीं भूलेंगे हम
आपने इस दिल का रस्ता भूल जाना चाहिए
बस बुज़ुर्गों के ही क़दमों में है ज़न्नत सा सुकूँ
नित्य हर अखबार में इसको छपाना चाहिए
As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee
our suggestion based on Nityanand Vajpayee
As you were reading undefined Shayari