khayaal-o-fikr kii sarhad ke paar jaate hue | ख़याल-ओ-फ़िक्र की सरहद के पार जाते हुए

  - Nusrat Siddiqui

khayaal-o-fikr kii sarhad ke paar jaate hue
gurez-paa hai koii khwaab mein bhi aate hue

kisi ne dekha nahin kaun hai nishaane par
kisi ne socha nahin goliyaan chalaate hue

guzaar di hai inheen koshishon mein umr-e-azeez
kabhi sehar ko kabhi shaam ko manaate hue

ye saare haarne waale bhi mere apne hain
kahin main ro na padhoon taaliyan bajaate hue

na jaane kaunsa firqa khilaaf ho jaaye
main sehma rehta hoon masjid mein aate jaate hue

ye farz bhi hai ye sunnat bhi aisa lagta hai
kisi ka baar-e-alam dosh par uthaate hue

guzarna hota hai kathinaaiyon se baaz-auqaat
alag se apna koii raasta banaate hue

hazaar baar mujhe sochna pada nusrat
diya jalate hue aur diya bujhaate hue

ख़याल-ओ-फ़िक्र की सरहद के पार जाते हुए
गुरेज़-पा है कोई ख़्वाब में भी आते हुए

किसी ने देखा नहीं कौन है निशाने पर
किसी ने सोचा नहीं गोलियाँ चलाते हुए

गुज़ार दी है इन्हीं कोशिशों में उम्र-ए-अज़ीज़
कभी सहर को कभी शाम को मनाते हुए

ये सारे हारने वाले भी मेरे अपने हैं
कहीं मैं रो न पड़ूँ तालियाँ बजाते हुए

न जाने कौनसा फ़िर्क़ा ख़िलाफ़ हो जाए
मैं सहमा रहता हूँ मस्जिद में आते जाते हुए

ये फ़र्ज़ भी है ये सुन्नत भी ऐसा लगता है
किसी का बार-ए-अलम दोष पर उठाते हुए

गुज़रना होता है कठिनाइयों से बाज़-औक़ात
अलग से अपना कोई रास्ता बनाते हुए

हज़ार बार मुझे सोचना पड़ा 'नुसरत'
दिया जलाते हुए और दिया बुझाते हुए

  - Nusrat Siddiqui

More by Nusrat Siddiqui

As you were reading Shayari by Nusrat Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Nusrat Siddiqui

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari