be wajah zakhm khaana nahin chahiye | बे -वजह ज़ख़्म खाना नहीं चाहिए

  - Rakesh Mahadiuree

be wajah zakhm khaana nahin chahiye
dil sabhi se lagana nahin chahiye

tumko dil mein basaa ke ye jaane hain ham
dil mein sabko basaana nahin chahiye

jis tarah se rulaaya mujhe aapne
yun kisi ko rulaana nahin chahiye

vo kisi aur kii hoke rukhsat hui
ab tumhein haq jataana nahin chahiye

raat bhar roye hain ham tere ishq mein
hamko vo din bhulaana nahin chahiye

rakh diya tere dar pe kaleja sanam
ab tujhe aazmaana nahin chahiye

ghar bahu aa gai bacchi bhi ghar gai
ab tumhein ghar mein aana nahin chahiye

kal jale ghar kii raakhon ne mujhse kaha
ghar kisi ka jalana nahin chahiye

बे -वजह ज़ख़्म खाना नहीं चाहिए
दिल सभी से लगाना नहीं चाहिए

तुमको दिल में बसा के ये जाने हैं हम
दिल में सबको बसाना नहीं चाहिए

जिस तरह से रुलाया मुझे आपने
यूँ किसी को रुलाना नहीं चाहिए

वो किसी और की होके रुख़्सत हुई
अब तुम्हें हक़ जताना नहीं चाहिए

रात भर रोए हैं हम तेरे इश्क़ में
हमको वो दिन भुलाना नहीं चाहिए

रख दिया तेरे दर पे कलेजा सनम
अब तुझे आज़माना नहीं चाहिए

घर बहु आ गई बच्ची भी घर गई
अब तुम्हें घर में आना नहीं चाहिए

कल जले घर की राखों ने मुझसे कहा
घर किसी का जलाना नहीं चाहिए

  - Rakesh Mahadiuree

More by Rakesh Mahadiuree

As you were reading Shayari by Rakesh Mahadiuree

Similar Writers

our suggestion based on Rakesh Mahadiuree

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari