dooriyaan khatm hui baat badhaaya kijeye
ai meri jaan mere paas to aaya kijeye
ek muddat miyaan main ishq kii zad mein hi tha
dil kii dahleez pe darte hue aaya kijeye
main bhi aadam hoon ki mujhko bhi bura lagta hai
mere maalik mujhe izzat se bulaaya kijeye
zindagi bhar ka kahaan saath koii laaya hai
do qadam chaar qadam saath nibhaaya kijeye
kya hui baat ye jhunjhalaate hain sharmate hain
mere shayar mere nazdeek to aaya kijeye
sunte aaye hain ki murdon ko jhankar hoti hai
dil kii dahleez se awaaz lagaaya kijeye
koii ik sher tumhaare liye naazil hoga
mere shayar yun kabhi dil na dukhaaya kijeye
दूरियाँ ख़त्म हुईं बात बढ़ाया कीजे
ऐ मेरी जान मेरे पास तो आया कीजे
एक मुद्दत मियाँ मैं इश्क़ की ज़द में ही था
दिल की दहलीज़ पे डरते हुए आया कीजे
मैं भी आदम हूँ कि मुझको भी बुरा लगता है
मेरे मालिक मुझे इज़्ज़त से बुलाया कीजे
ज़िन्दगी भर का कहाँ साथ कोई लाया है
दो क़दम चार क़दम साथ निभाया कीजे
क्या हुई बात ये झुँझलाते हैं शरमाते हैं
मेरे शायर मेरे नज़दीक तो आया कीजे
सुनते आए हैं कि मुर्दों को झनक होती है
दिल की दहलीज़ से आवाज़ लगाया कीजे
कोई इक शेर तुम्हारे लिए नाज़िल होगा
मेरे शायर यूँ कभी दिल न दुखाया कीजे
As you were reading Shayari by Rakesh Mahadiuree
our suggestion based on Rakesh Mahadiuree
As you were reading undefined Shayari